Pathar Barsane Walo Main Qaidi Hoon Pardesi Hoon Mir Hasan Lyrics 2004
Pathar Barsane Walo Main Qaidi Hoon Pardesi Hoon Mir Hasan Mir.
Na Maro Na Maro Haye Pathar Na Maro.
Pathar Barsaney Walo Main Qaidi Hoon Pardesi Hoon.
Mujh Ko Tarpaney Ki Khatir Zahra Ko Rulanay Ki Khatir Rastoon Ko Sajane Walo Pardesi Hoon.
Suntay Ho Azaan Mein Naam Oss Ka Darasal Woh Hai Mera Nana.
Aaye Ho Tamashai Ban Kar Be Maqna Hoon Main Be Chadar Hoon Aye Mujh Ko Rulanay Walo Pardesi Hoon.
Kanton Pe Chalatay Ho Mujh Ko Har Gaam Satatay Ho Mujh Ko.
Durron Se Aziyat Detey Ho Roney Pe Qayamat Dhatay Ho Bazar Mein Laney Walo Pardesi Hoon.
Din Dhop Mein Hai Shab Oss Mein Hai Har Ik Lamha Afsoos Mein Hai.
Zardi Hai Alam Ki Chehron Par Our Gard-e-Safar Hai Baloon Par Dil Mera Dukhanay Walo Pardesi Hoon.
Iss Shehar Ki Main Shehzadi Thi Sab Ko Pardah Sikhlati Thi.
Aazad Kaneezon Ko Bhi Kiya Apna Hi Yateemo Ko Samjha Mujhe Qaidi Bananey Walo Pardesi Hoon.
Saye Mein Nahi Chalne Detey Aaram Nahi Karne Detey.
Girtay Hain Jo Ontoon Se Bachay Martay Hain Woh Dab Kar Pairon Se Aye Reham Na Khaney Walo Pardesi Hoon.
Mere Bhai Bhatijay Mar Deiye Sar Kaat Ke Phir Naizon Pe Rakhay.
Rastay Mein Jo Thokar Khata Hai Beemar Ko Gash Aa Jata Hai Aye Zakhm Lagane Walo Pardesi Hoon.
:REHAN: Meri Aaqa Zadi Darbar Mein Youn Thi Faryadi.
Kuhram Bapa Darbar Mein Tha Oss Waqt Nabi Zadi Ne Kaha Ghar Mera Jalanay Walo Pardesi Hoon.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2003-04:
Composition: :Raza Shah:
#QaidiHoonPardesiHoon
#NohayLyrics
#tajpoint