Na Pathar Maro Main Zainab Hoon Hasan Sadiq Lyrics 2004
Na Pathar Maro Main Zainab Hoon Hasan Sadiq.
Main Be Watan Main Be Rida Bhai Mera Mara Gaya.
Baba Ali Maa Syeda Kartay Ho Kyun Mujh Par Jafa.
Mehman Bola Kar Laut Liya Kata Hai Mere Bhai Ka Gala.
Be Goor-o-Kafan Hai Foaj-e-Khuda Aye Ahl-e-Sitam Aye Ahl-e-Jafa.
Main Zainab-e-Khasta Jigar Jalti Zameen Pe Hai Safar.
Bhai Ki Hoon Main Noha Gar Kyun Na Kahon Sar Peet Kar.
Aayi Thi Bhara Ghar Le Kar Main Tum Ne Woh Bhara Ghar Loot Liya.
Looti Hain Ridaein Bhi Sar Se Seh Roz Humein Pani Na Diya.
Khoon Se Bhara Hai Pairhan Zakhmi Hai Pehle Se Badan.
Hoti Hai Seene Mein Dukhan Main Hoon Waqar-e-Panjtan.
Kanton Pe Chalatay Ho Hum Ko Be Jurm Satatay Ho Hum Ko.
Dikhla Ke Azeezon Ke Lashay Tum Loag Rolatay Ho Hum Ko.
Main Dukhtar-e-Shair-e-Khuda Nana Mera Hai Mustafa.
Cheeni Hai Kyun Meri Rida Tum Ko Khuda Ka Wasta.
Dorao Na Ontoon Ko Aisay Bachoon Pe Zara Kuch Reham Karo.
Maon Ke Dilon Ke Aye Zalim Iss Zulm Se Tum Tukray Na Karo.
Kartay Ho Kyun Hum Par Sitam Ghutney Laga Bachoon Ka Dam.
Hum Sab Nabi Ke Hain Haram Tum Ko Muhammad Ki Qasam.
:REHAN: Nabi Zadi Ro Kar Kehti Thi Sar-e-Darbar-e-Sitam.
Naizay Pe Mere Bhai Ka Hai Sar Be Pardah Hoye Bazar Mein Hum.
Aankhein Lahu Se Bhar Gayin Waris Bhi Ab Koi Nahi.
Roya Falak Roi Zameen Kehti Thi Zainab Aye Laeen.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 2003-04:
Composition: :Akhtar Jafri:
#NaPatharMaro
#NohayLyrics
#tajpoint