Qatl Ali Hogaye Ramzan Mein Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Qatl Ali Hogaye Ramzan Mein Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu

قتل علیؑ ہو گئے رمضان مِیں

Shab Chak Girebaan Sahar Giriya Kuna Hai.
Makhlooq-e-Khuda Mail-e-Faryad-o-Fogaan Hai.
Ma Bain Zameen-o-Aasmaan Mehshar Ka Samaa Hai.
Uneeswin Ramzan Ka Yeh Haal Biyaan Hai.
Tareekh Yeh Woh Hai Jo Qayamat Se Nahi Kam.
Aye Momino Sar Peeto Karo Giriya-o-Matam.
Qatal Ali Ho Gaye Ramzan Mein.
Dard Hai Jibreel Ke Ayelan Mein.
Masjid-e-Kofa Se Jab Gham Ki Yeh Aayi Khabar.
Bint-e-Ali Ro Pari Seena-o-Sar Peet Kar.
Kofay Mein Ik Shoor Tha Ya Ali Ya Aeliya.
Ho Gaya Matam Bapa Ya Ali Ya Aeliya.
Kis Ne Yeh Dhayi Jafa Ya Ali Ya Aeliya.
Gham Hai Bapa Khana-e-Yazdan Mein.
Shabbar-o-Shabeer Se Behno Ne Ro Kar Kaha.
Dekho Tu Ja Kar Zara Kyun Hai Yeh Aah-o-Boka.
Aati Hai Har So Sada Ya Ali Ya Aeliya.
Gham Hai Yeh Sab Se Bara Ya Ali Ya Aeliya.
Haye Ghazab Ho Gaya Ya Ali Ya Aeliya.
Hashar Bapa Hai Dil-e-Veeran Mein.
Door Ke Masjid Gaye Shabbar-o-Shabeer Jab.
Baap Ko Iss Haal Mein Dekha Ke Haye Ghazab.
Beton Ne Ro Kar Kaha Ya Ali Ya Aeliya.
Kyun Hoye Hum Se Khafa Ya Ali Ya Aeliya.
Khoon Jo Baha Aap Ka Ya Ali Ya Aeliya.
Deen-e-Muhammad Bhi Hai Nuqsan Mein.
Baap Ko Le Kar Gaye Ghar Mein Jo Dono Pisar.
Pairon Mein Bethi Koi, Koi Sanbhalay Thi Sar.
Fizza Ki Aayi Sada Ya Ali Ya Aeliya.
Jab Se Yeh Sadma Mila Ya Ali Ya Aeliya.
Dil Ka Sakoon Lut Gaya Ya Ali Ya Aeliya.
Sang Hai Ya Dil Seena-e-Insan Mein.
Kofay Ke Bewah Yateem Parhtay Hain Yeh Marsiya.
Koi Sahara Nahi Maula Tumharey Siwa.
Ab Yeh Musibat Zadah Ya Ali Ya Aeliya.
Kaisay Jeein Bhala Ya Ali Ya Aeliya.
Aap They Gham Ki Dawa Ya Ali Ya Aeliya.
Noha Hai Yeh Shehar-e-Biyaban Mein.
Noha Hai Kulsoom Ka Kis Se Main Pochon Bhala.
Kyun Bin-e-Muljim Ne Ki Baba Yeh Tum Par Jafa.
Jurm Na Koi Khata Ya Ali Ya Aeliya.
Zulm Ki Hai Inteha Ya Ali Ya Aeliya.
Kunba Tarapney Laga Ya Ali Ya Aeliya.
Khak Hai Baloon Mein Gareban Mein.
Rehmaton Our Barkaton Wala Maheena Yeh Tha.
Jis Mein Mere Baba Ka Khon Bahaya Gaya.
Rehmatein Mehway Boka Ya Ali Ya Aeliya.
Barkatein Mehway Boka Ya Ali Ya Aeliya.
Nematein Mehway Boka Ya Ali Ya Aeliya.
Bugz Jo Tha Qalb-e-Musalman Mein.
:MAZHAR:-o-:MEESUM: Ne Yeh Keh Ke Uthaya Qalam.
Eid Se Pehle Mila Aal-e-Muhammad Ko Yeh Gham.
Bibiyon Ka Marsiya Ya Ali Ya Aeliya.
Aaj Se Hai Ibtida Ya Ali Ya Aeliya.
Imtehan-e-Karbala Ya Ali Ya Aeliya.
Noha Hai Maula Ke Yateeman Mein.
Poet: :Mazhar Abidi:
Noha Khuwaan: :Mesum Abbas:
Noha Volume: :Mesum Abbas 2020-21:
Composition: :Mazhar Abidi:
#QatlAliHogayeRamzanMein
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!