Salam Hai Arz-e-Karbala Par Sajjad Ashraf Taqvi Lyrics In Urdu 2020
Salam Hai Arz-e-Karbala Par Sajjad Ashraf Taqvi.
Yeh Aik Noha Rahe Labon Par Salam Hai Arz-e-Karbala Par.
Hain Jis Chaman Mein Gul-e-Payamber Salam Hai Arz-e-Karbala Par.
Hussain Maula Ki Sar Zameen Hai Woh Khuld Se Bhi Bohat Haseen Hai.
Yahan Pe Mojood Hain Bahatar Salam Hai Arz-e-Karbala Par.
Jahan Pe Deen-e-Khuda Bacha Hai Woh Karbala Hai Woh Karbala Hai.
Tu Kyun Na Momin Pukarey Ro Kar Salam Hai Arz-e-Karbala Par.
Ghizaye Khuld-e-Barin Yahan Hai Yeh Baat Aalam Mein Ab Kahan Hai.
Furat Ka Pani Hai Ke Kausar Salam Hai Arz-e-Karbala Par.
Issi Zameen Ki Fazeelatein Hain Ke Iss Ke Madah Janati Hain.
Khuda Ke Anwar Se Munawar Salam Hai Arz-e-Karbala Par.
Jo Rastay Mein Karein Gay Matam Tu Ghazi Kartay Hain Khair Maqdam.
Nahi Hai Kuch Our Iss Se Behtar Salam Hai Arz-e-Karbala.
Wahan Pe Ja Ke Bahao Aanso Katay They Jis Ja Jarri Ke Bazu.
Jahan Hai Ab Bhi Shabeeh-e-Haider Salam Hai Arz-e-Karbala Par.
Dua Hai :SAJJAD: Yeh Hamari :REHAN: Sah Na Sakein Gay Doori.
Najaf Se Jaein Yeh Kehte Chal Kar Salam Hai Arz-e-Karbala Par.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Sajjad Ashraf Taqvi:
Noha Volume: :Sajjad Ashraf Taqvi 2020-21:
Composition: :Sajjad Ashraf Taqvi:
#SalamHaiArzeKarbalaPar
#NohayLyrics
#tajpoint