Gham Karbala Na Janay Ka Syed Mohammed Shah Lyrics In Urdu and Roman Urdu
غم کربلا نہ جانے کا
Gham Karbala Na Jane Ka Sughra Se Pochiye.
Kaisay Rahi Watan Mein Yeh Dukhiya Se Pochiye.
Karti Rahi Jo Zainab-e-Muztar Ki Minatein.
Our Hath Joor Joor Ke Sarwar Ki Minatein.
Ghazi Chacha Ki Our Kabhi Akbar Ki Minatein.
Kaisay Juda Hoi Woh Sakina Se Pochiye.
Karb-o-Bala Ki Aas Ko Dil Mein Rakhay Hoye.
Akbar Ke Naam Ke Woh Jalati Rahi Diye.
Sughra Ko Tanha Chor Ke Sare Chaley Gaye.
Roti Thi Kitna Ahl-e-Madina Se Pochiye.
Seene Mein Ik Jawan Ke Barchi Gari Hoi.
Our Sans Ik Zaeef Ke Lab Par Ruki Hoi.
Dekhi Hai Kis Ki Teer Se Gardan Kati Hoi.
Sughra Ke Khuwab Hazrat-e-Salma Se Pochiye.
Jab Sheh Rag-e-Hussain Pe Khanjar Howa Rawaan.
Betay Ko Zibha Karne Se Khud Rokti Thi Maa.
Qatil Ki Terah Zarboon Ke Hathoon Pe Hain Nishaan.
Khanjar Tha Kitna Kund Yeh Zahra Se Pochiye.
Halat Hi Ho Gayi Thi Kuch Aisi Hussain Ki.
Bikhari Thi Lash Tukron Mein Itni Hussain Ki.
Pehchan Tak Na Payi Behan Bhi Hussain Ki.
Maqtal Ka Haal Zainab-e-Kubra Se Pochiye.
Akbar Ki Lash Dekh Ke Be Haal Youn Hoi.
Uthi Kabhi Hussain Ki Tarha Kabhi Giri.
Noor-e-Nazar Ke Sath Nazar Bhi Chali Gayi.
Aankhon Ka Noor Kya Hai Yeh Laila Se Pochiye.
Dekhey Hain Chaar Barson Mein Oss Ne Kayi Sitam.
Aaya Tabhi Hai Waqt Se Pehle Kamar Mein Khum.
Pehlu Pe Hath Rakh Ke Uthati Rahi Qadam.
Chalna Kamar Jhuka Ke Sakina Se Pochiye.
Kis Zulm Ne Jawaan Ki Kamar Ko Jhuka Diya.
Kis Gham Ne Bachpaney Mein Hi Borha Bana Diya.
Kyun Ho Gaye Zaeef Woh Dono Howa Hai Kya.
Sajjad Our Fatima Sughra Se Pochiye.
Poet: :Muhsin Jaffri:
Poet: :Asad Ali Asad:
Noha Khuwan: :Syed Mohammed Shah:
Noha Volume: :Syed Mohammed Shah 2021-22:
Composition: :Muhsin Jaffri:
#GhamKarbalaNaJanayKa
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com