Salam Us Pe Jise Baar Baar Mara Gaya Syed Mohammed Shah Lyrics In Urdu and Roman Urdu
سلام اُس پہ جسے باربار مارا گیا
Hai Karbala Mein Imam-e-Zaman Ka Noha.
Khuda Hi Jane Ke Kaisay Gaya Sar-e-Naiza.
Sina Galay Mein Utari Ya Phir Sina Mein Gala.
Woh Saal Bhar Nahi Naizay Se Jis Ka Sar Utra.
Nahi Hai Zeen Se Utra Koi Kabhi Aisay.
Raha Woh Teeron Ka Mehman Bhi Kayi Ghantay.
Kiya Hai Teeron Pe Hi Jis Ne Aakhri Sajdah.
Bani Sitam Ka Nishana Youn Lash Bhi Oss Ki.
Angothi Ke Liye Zalim Ne Kaat Li Ungli.
Woh Jis Ka Dasht Mein Uryaan Para Raha Lasha.
Kiya Youn Dasht Mein Pamal Iss Nageeney Ko.
Milaya Pusht Se Ghoron Ne Jis Ke Seene Ko.
Woh Jis Ki Pasliyaan Tooti Tu Aa Rahi Thi Sada.
Uthaye Apne Hi Lashay Ke Jis Ne Khud Tukray.
Khud Apne Halq Se Khaincha Hai Teer Bhi Jis Ne.
Nikala Apne Kalejay Se Jis Ne Khud Naiza.
Woh Jis Ki Pyas Pe Aanso Bahaye Asghar Ne.
Jisay Pilaye Hain Qatil Ne Ghont Naizon Ke.
Nahi Hai Jis Se Bara Dehar Mein Koi Pyasa.
Sahabiyon Ke Bhi Mojood Jin Mein They Betay.
Hussain Ko They Magar Sab Hi Marne Walay.
Woh Jis Ghareeb Ka Ummat Ne Na Janaza Parha.
They Ashk Aankhon Mein :MUHSIN: Nazar Thi Khaimon Par.
Jo Naam Leta Tha Abbas Ka Tah-e-Khanjar.
Jisay Rolati Thi Khanjar Talay Behan Ki Rida
Poet: :Muhsin Jaffri:
Noha Khuwan: :Syed Mohammed Shah:
Noha Volume: :Syed Mohammed Shah 2021-22:
Composition: :Muhsin Jaffri:
#SalamUsPe
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com