Ghum e Hussain Ali Adil Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Ghum e Hussain Ali Adil Lyrics In Urdu and Roman Urdu

غمِ حُسینؑ

Gham-e-Hussain Manana Bohat Zarori Hai.
Azza Ka Farsh Bichana Bohat Zarori Hai.
Hussain Woh Hai Jo Zahra Ke Dil Ki Dharkan Hai.
Issi Ke Naam Pe Qurban Apna Tan Man Hai.
Yeh Munkiron Ko Batana Bohat Zarori Hai.
Azza Ka Farsh Bichao Hussainiyat Ke Liye.
Magar Yeh Yaad Rahe Keh Qaboliyat Ke Liye.
Janab-e-Zahra Ka Aana Bohat Zarori Hai.
Hussainiyat Ka Safar Tu Azal Se Jari Hai.
Yehi Woh Zikar Hai Keh Jo Baqa Hamari Hai.
Yeh Zikar Dil Se Lagana Bohat Zarori Hai.
Hussain Sath Chaley They Behan Ke Sham Talak.
Ik Aah-o-Zaari Thi Konain Mein Zameen Ta Falak.
Woh Aah Sab Ko Sunana Bohat Zarori Hai.
Ali Ki Beti Ka Rutba Hai Kya Kisay Hai Khabar.
Hussain Naizay Pe Quraan Suna Rahe Hain Magar.
Behan Ke Sath Bhi Jana Bohat Zarori Hai.
Jawan Betay Ke Lashay Pe Sheh Ne Di Yeh Sada.
Zamana Yeh Na Kahey Keh Hussain Haar Gaya.
Tumhara Lasha Uthana Bohat Zarori Hai.
Sakina BiBi Ke Dil Ki Yehi Tu Hasrat Hai.
Nishan Sabar-o-Wafa Our Daleel-e-Azmat Hai.
Alam Jabhi Tu Uthana Bohat Zarori Hai.
Yeh Keh Do :AKHTAR:-o-:ADIL: Zamane Walon Se.
Gham-e-Hussain Mein Roney Rulanay Walon Se.
Lahu Bhi Apna Bahana Bohat Zarori Hai.
Poet: :Allama Syed Akhtar Abbas Zaidi Al Arabi:
Noha Khuwan: :Ali Adil:
Noha Volume: :Ali Adil 2021-22:
Composition: :Syed Irfan Haider Rizvi:
#GhumeHussain
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!