Ae Baqaiya Mujhe Tera Ghum Hai Rizwan Zaidi Lyrics In Urdu 2022
Ae Baqaiya Mujhe Tera Ghum Hai Rizwan Zaidi.
Iss Liye Tu Yeh Aankh Purnam Hai.
Jab Se Tera Yeh Inhedam Howa.
Dil Mein Bas Gham Ka Hi Qiyam Howa.
Ab Tu Ik Izterab-e-Paihum Hai.
Qabar-e-Zahra Jo Dhayi Aada Ne.
Kya Bigara Tha Inn Ka Dukhiya Ne.
Hum Tu Jitna Bhi Roein Woh Kam Hai.
Hai Jo Be Saya Turbat-e-Sajjad.
Kyun Na Hum Ghamzada Karein Faryad.
Iss Se Barh Kar Bhi Koi Kya Gham Hai.
Qabar Baqir Ki Our Jafar Ki.
Hai Shikasta Jo Qabar Shabar Ki.
Har Taraf Soag Ka Sa Aalam Hai.
Keh Utha Dekh Kar Dil-e-Muztar.
Haye Re Qabar-e-Madar-e-Haider.
Iss Ki Tauqeer Tu Muqaddam Hai.
Jab Bhi Tashreef Laein Gay Mehdi.
Ho Ga Tameer Phir Baqaiya Bhi.
Mujh Ko Ik Yeh Hi Aas Har Dam Hai.
Kyun Na Aawaz-e-Haq Uthaein Hum.
Kaisay Batil Se Khof Khaein Hum.
Sar Pe Jab Bawafa Ka Parcham Hai.
Jis Ne Zahra Ka Dil Dukhaya Hai.
Our Unhein Umar Bhar Rulaya Hai.
Oss Pe Lanat Hi Ab Tu Har Dam Hai.
Chain :IZHAR: Youn Nahi Aata.
Har Ghari Hai Alam Baqaiya Ka.
Har Ghari Dil Mein Shor-e-Matam Hai.
Poet: :Ali Izhar:
Noha Khuwan: :Rizwan Zaidi:
Noha Volume: :Rizwan Zaidi 2021-22:
Composition: :Rizwan Zaidi:
#8Shawal
#AeBaqaiya
#NohayLyrics
#tajpoint