Jab Ashqiyan Ne Hai Zeen Se Giraya Ghazi Ko Ansar Jafar Lyrics In Urdu and Roman Urdu
جب اشقیا نے ہے زیں سے گِرایا غازیؑ کو
Khiyal Chadar-e-Zainab Ka Aaya Ghazi Ko.
Hazaron Taigon Se Naizon Se Mara Logon Ne.
Kuch Aisay Kata Hai Maqtal Mein Lasha Logon Ne.
Jagah Jagah Se Hai Sheh Ne Uthaya Ghazi Ko.
Pukara Ghora Yeh Sheh Ko Jisay Sanbhala Hai.
Ghira Hai Taigon Mein Aao Woh Girney Wala Hai.
Larazta Pusht Pe Oss Ne Jo Paya Ghazi Ko.
Alam Gira Tu Ridaein Bhi Gir Gayin Sar Se.
Sadaein Bibiyaan Deti Thi Khaimon Ke Dar Se.
Keh Raas Pani Bhi Lana Na Aaya Ghazi Ko.
Gala Katay Tu Katay Mashk Ko Bachana Hai.
Sakina Pyasi Hai Pani Ossay Pilana Hai.
Hai Azn Baba Se Oss Ne Dilaya Ghazi Ko.
Laga Jo Teer Sakina Ki Mashk Mein Aa Kar.
Tarap Tarap Ke Woh Takra Raha Tha Zeen Se Sar.
Sitam Ke Teer Ne Itna Rulaya Ghazi Ko.
Jab Oss Ka Aakhri Sansoon Mein Pochta Tha Jarri.
Tu Sar Katay Hoye Shano Se Peetta Tha Jarri.
Jo Sheh Ne Hal-e-Sakina Sunaya Ghazi Ko.
Khula Yeh Ghazi Pe Naizon Ke Zakhm Khilaney Se.
Laeen Marein Gay Zainab Ko Taziyane Se.
Sitam Woh Kaisay Karein Gay Dikhaya Ghazi Ko.
:ASAD: Yeh Sheh Ko Tha Sadma Guzar Gaye Ghazi.
Kaha Hussain Ko Bhai Tu Mar Gaye Ghazi.
Galay Se Sheh Ne Jo Ro Kar Lagaya Ghazi Ko.
Poet: :Asad Ali Asad:
Noha Khuwan: :Ansar Jafar:
Noha Volume: :Ansar Jafar 2021-22:
Composition: :Waheed-ul-Hasan Kamaliya:
#GirayaGhaziKo
#NohayLyrics
#tajpoint