Pursa Do Jafar e Sadiq Ka Haider Rizvi Lyrics 2024

Pursa Do Jafar e Sadiq Ka Haider Rizvi Lyrics In Urdu 2024

Pursa Do Jafar e Sadiq Ka Haider Rizvi

Aye Ahl-e-Azza Do Kazim Ko Sab Pursa Jafar-e-Sadiq Ka.
Rota Hai Jigar Ko Thamay Hoye Shehzada Jafar-e-Sadiq Ka.

Mansor Ne Aisa Zehar Diya Zahra Ka Chand Tarapta Tha.
Kabhi Zard Howa Kabhi Sabz Howa Hai Chehra Jafar-e-Sadiq Ka.

Yeh Soch Ke Maula Sadiq Ki Aankhon Se Barastay They Aanso.
Zindan Mein Barson Qaid Rahe Ga Beta Jafar-e-Sadiq Ka.

Jab Mah-e-Muharram Aata Tha Dil Gham Mein Doob Sa Jata Tha.
Sab Ahl-e-Madina Suntay They Bas Giriya Jafar-e-Sadiq Tha.

Tarveej e Ilm Mein Din Guzrey Shabein Guzrein Shah Ke Matam Mein.
Ban Jata Tha Misal-e-Farsh-e-Azza Ghar Sara Jafar-e-Sadiq Ka.

Zahra Ke Shikasta Pehlu Par Din Raat Woh Noha Parhtay They.
Ab Fatima Zahra Parhti Hain Khud Noha Jafar-e-Sadiq Ka.

Kabhi Akbar Ke Gham Mein Roye Kabhi Sarwar Ki Tanhai Par.
Taboot Uthaya Kazim Ne Jab Maula Jafar-e-Sadiq Ka.

Darwaza e Bint-e-Paygambar Jis Tarha Jalaya Bad-e-Nabi.
Aisay Hi Jalaya Ummat Ne Darwaza Jafar-e-Sadiq Ka.

Kuch Pathar Noha Parhtay Hain Maula Ki Lehad Par Aaj Talak.
Zahra Ki Tarha Hi Ban Na Saka Ik Roza Jafar-e-Sadiq Ka.

Aankhon Se Lahu Barsao :HASAN:, Jafar Ke Dard Sunao :HASAN:.
:HAIDER: Yeh Baqi Mein Ja Ke Parhey Ga Noha Jafar-e-Sadiq Ka.

Poet: :Mirza Hasan Mujtaba:
Noha Khuwan: :Haider Rizvi:
Noha Volume: :Haider Rizvi 2023-24:
Composition: :Own Rizvi:

#PursaDoJafareSadiq
#NohayLyrics
#tajpoint

Pursa Do Jafar e Sadiq Ka Haider Rizvi Write Up Poster Image

Pursa Do Jafar e Sadiq Ka Haider Rizvi Lyrics In Urdu 2024

 

Video Link
error: Content is protected !!