ٹ کریں -->

Syed e Sajjad Nay Meesum Kashmiri Lyrics In Urdu 2021

Syed e Sajjad Nay Meesum Kashmiri Lyrics In Urdu 2021

Syed e Sajjad Nay Meesum Kashmiri.

Sham Mein Woh Zakhm Khaye Syed-e-Sajjad Ne.
Khon Ke Aanso Bahaye Syed-e-Sajjad Ne.

Jo Sar-e-Bazar Na Mehram Nigahon Se Chaley.
Qalb Par Woh Teer Khaye Syed-e-Sajjad Ne.

-->

Jab Kabhi Pocha Kissi Ne Khon Roney Ka Sabab.
Sham Ke Nohay Sunaye Syed-e-Sajjad Ne.

Maqtal-e-Karb-o-Bala Ke Sab Ghamo Se Hain Garaan.
Jo Alam Tanha Uthaye Syed-e-Sajjad Ne.

Taziyane Our Durray, Beriyaan Tauq-e-Sitam.
Gham Sahey Kya Kya Na Haye Syed-e-Sajjad Ne.

Ban Gaya Unn Ka Musalla Shah Ka Farsh-e-Azza.
Nohay Sajdoon Mein Sunaye Syed-e-Sajjad Ne.

Khoon Ke Aanso Our Nikley Dur Sakina Ke Agar.
Apni Aankhon Se Lagaye Syed-e-Sajjad Ne.

Karbala Ki Yaad Mein Har Dam Gham-e-Sheh Ke Charag.
Khoon Ke Ashkon Se Jalaye Syed-e-Sajjad Ne.

Hashar Mein Kuhram Barpa Ho Gaya :MEESUM,: :IRAM:.
Daag-e-Ghairat Jab Dikhaye Syed-e-Sajjad Ne.

Poet: :Shumaila Iram:
Noha Khowan: :Meesum Kashmiri:
Noha Volume: :Meesum Kashmiri 2021-22:
Composition: :Meesum Kashmiri:

#SyedeSajjadNay
#NohayLyrics
#tajpoint

Syed e Sajjad Nay Meesum Kashmiri Lyrics In Urdu 2021 Write Up Poster Image

Syed e Sajjad Nay Meesum Kashmiri Lyrics In Urdu 2021

Video Link

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!