Faqat Yaad e Pidar Hai Syed Askari Hassan Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
فقط یادِ پدر ہے
Tanhai Andhera Hai Faqat Yaad-e-Padar Hai.
Aazad Parindon Pe Sakina Ki Nazar Hai.
Ashor Se Phir Soyi Kahan Aap Ki Dukhtar.
Soney Hi Nahi Deti Hai Ab Qaid-e-Sitamgar.
Har Lamha Laga Rehta Issay Shimar Ka Dar Hai.
Gardan Mein Rasan Bali Sakina Ke Bandhi Thi.
Sin Chota Tha Sab Bibiyon Mein Kaisay Woh Chalti.
Panjo Pe Raha Bali Sakina Ka Safar Hai.
Kano Se Lahu Behta Tha Khati Thi Tamachay.
Ro Ro Ke Kaha Karti Thi Sajjad Se Ja Ke.
Batlao Mujhe Rasta Darya Ka Kidhar Hai.
Pani Pe Nazar Jaye Tu Aati Hai Teri Yaad.
Kis Tarha Jiyon Asghar-e-Be Sheer Tere Baad.
Ab Le Ja Mujhe Bhi Marey Asghar Tu Jidhar Hai.
Sughra Se Mulaqaat Bhi Ab Ho Na Sakay Gi.
Mujh Ko Bhi Madine Ki Fiza Yaad Karey Gi.
Aye Maa Mujhe Lagta Hai Ke Zindaan Mera Ghar Hai.
Roney Pe Bhi Pehra Hai Kahan Jaye Sakina.
Ghut Ghut Ke Hi Mar Jaye Na Zindaan Mein Hazeena.
Aa Jaiye Baba Keh Bas Ab Waqt-e-Guzar Hai.
Bazar Mein Jab Aal Pe Phainka Gaya Sadqa.
Ro Kar Sar-e-Shabbir Se Kehti Rahi Dukhiya.
Kya Iss Se Bari Koi Qayamat Ki Khabar Hai.
:ASIM: Ho Biyaan Kaisay Woh Bachi Ka Dafina.
Phir So Gayi Aaram Se Zindaan Mein Sakina.
Jab Gaud Mein Rakha Gaya Shabbir Ka Sar Hai.
Poet: :Asim Zaidi:
Noha Khuwan: :Syed Askari Hassan Zaidi:
Noha Volume: :Syed Askari Hassan Zaidi 2021-22:
Composition: :Syed Askari Hassan Zaidi:
#FaqatYaadePidarHai
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com