Shab Chaak Garaiban Ali Zia Rizvi Noha by Askari Hassan Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Shab Chaak Garaiban Ali Zia Rizvi Noha by Askari Hassan Lyrics In Urdu and Roman Urdu

شب چاک گریباں سحر گریہ کناں ہے

Shab Chak Girebaan Sahar Giriya Kuna Hai.
Makhlooq-e-Khuda Mail-e-Faryad-o-Fogaan Hai.
Ma Bain Zameen Aasmaan Mehshar Ka Samaa Hai.
Uneeswin Ramzan Ka Yeh Haal Biyaan Hai.
Tareekh Yeh Woh Hai Jo Qayamat Se Nahi Kam.
Aye Momino Sar Peeto Karo Giriya-o-Matam.
Farig Jo Tahajud Se Hoye Fatah-e-Khaybar.
Our Sehan Mein Aaye Jonhi Hujray Se Nikal Kar.
Bas Qasad Kiya Hi Tha Abhi Jane Ka Bahir.
Hota Ke Ada Fajar Ka Woh Farz Muqarar.
Murgabiyon Ne Ghair Liya Haq Ke Wali Ko.
Darwazay Pe Jane Nahi Deti Thin Ali Ko.
Goya Hoye Murgabiyon Se Haider-e-Karrar.
Iss Uns Ki De Tum Ko Jaza Khaliq-e-Ghaffar.
Nalay Na Karo Sabar Karo Aye Meri Ghamkhuwar.
Jo Waqt Moeen Hai Woh Talta Nahi Zenhar.
Daman Ko Mere Chor Do Youn Ashk Na Barsao.
Masjid Mein Mujhe Jane Do Darwazay Se Hat Jao.
Pohanchay Jonhi Masjid Mein Ali Dekha Yeh Manzar.
Ondha Para Sota Hai Laeen Aik Zameen Par.
Jab Oss Ke Qareeb Aaye Tu Goya Hoye Haider.
Uth Pairway Iblees Shaqi Our Sitamgar.
Maloom Hai Sab Kis Liye Tu Aaya Hai Kofa.
Kis Kam Ke Karne Ka Yahan Par Hai Iradah.
Yeh Keh Ke Azaan Deney Lagay Khalq Ke Maula.
Mehrab Ibadat Mein Hoye Zaib Musallay.
Masroof Hoye Taat e Rab Mein Shah e Wala.
Thi Fajar Ki Pehli Woh Rakat Pehla Woh Sajdah.
Talwar Aqab Se Bin-e-Muljim Ne Lagai.
Do Parah Kiya Sar Ko Jabeen Tak Utar Aayi.
Sar Peet Ke Kehte They Namazi Keh Aye Jalad.
Kya Kar Diya Yeh Khana-e-Haq Mein Sitam Aijad.
Ki Haq Ke Wali Par Yeh Bhala Kis Liye Bedad.
Faryad Hai Faryad Hai Faryad Hai Faryad.
Iss Shoor-o-Fogaan Ko Suna Hasnain Ne Jis Dam.
Masjid Ko Chaley Ghar Se Woh Kartay Hoye Matam.
Hasnain Ne Aalodah Ba Khoon Baap Ko Paya.
Woh Bain Kiye Jis Se Keh Munh Ko Jigar Aaya.
Phir Aik Chatai Pe Garz Unn Ko Litaya.
Gham Khawaron Ne Zakhmi Sheh-e-Safdar Ko Uthaya.
Ghar Laye Mobada Kahin Halat Na Bigar Jaye.
Sar Kholay Hoye Sani Zahra Na Nikal Aaye.
Dakhil Hoye Jab Ghar Mein Pisar Baap Ko Le Kar.
Waan Nalah-o-Shewan Se Bapa Ho Gaya Mehshar.
Thamay Hoye Thi Beti Koi Paon Koi Sar.
Aahista Se Hujray Mein Litaya Inhein Ja Kar.
Tha Wird-e-Zabaan Wa Aliya Aah-o-Boka Mein.
Aawaz Yehi Gonjti Thi Arz-o-Samaa Mein.
Dekhi Sar-e-Haider Ki Jo Jarah Ne Halat.
Seene Ko Laga Peetne Tari Hoi Riqqat.
Hosh Aaya Tu Kehne Laga Hai Zehar Ki Shiddat.
Nazdeek Hai Ab Nafs-e-Payamber Ki Shahadat.
Aalodah Thi Talwar Zehar Mein Jo Lagai.
Sab Jism Mein Phaila Hai Asar Haq Ki Dohai.
Yeh Suntay Hi Haider Pe Jo Riqqat Hoi Tari.
Kuch Hichkiyaan Iss Arsa Mein Aaein Kayi Bari.
Zainab Ne Yeh Dekha Tu Woh Ro Ro Kar Pukari.
Youn Chor Ke Tanha Na Humein Jaiye Wari.
Logo Mere Baba Ko Bacha Lo Koi Aa Kar.
Bach Jaein Agar Yeh Mujhe Sadqa Karo Inn Par.
Aye Momino Sar Peeto Qayamat Hoi Barpa.
Unees Ka Our Bees Ka Din Karb Mein Guzra.
Ikeeswin Tareekh Qayamat Ka Samaa Tha.
Har Shaks Tha Matam Kuna Har Lab Pe Tha Noha.
Zalim Ne Ghazab Kaba-e-Eman Ko Dhaya.
Jo Bad-e-Nabi Maula Tha Woh Hum Se Choraya.
Ikeeswin Ramzan Hai Kya Sab Ko Bataon.
Aadab Rafaqat Ke Zamane Ko Sikhaon.
Jo Guzri Rodad Ik Ik Ko Sunaon.
Ahmad Ka Wasi Mara Gaya Soag Manaon.
Ho Jate Hain Chehron Se Ayyaan Hizn Ke Aasaar.
Chupta Nahi Lakhon Mein :ANEES: Aap Ka Ghamkhuwar.
Poet: :Anees Peharsari:
Noha Khuwaan: :Ali Zia Rizvi:
Noha Khuwaan: :Ali Yazdaan Rizvi:
Noha Khuwaan: :Askari Hassan Zaidi:
Noha Volume: :Askari Hassan Zaidi 2022-23:
#ShabChaakGaraiban
#NohayLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!