Ya Ali Adrikni Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu 2021

Ya Ali Adrikni Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu 2021

Ya Ali Adrikni Mir Hasan Mir Lyrics

Ro Ke Bazar Mein Deti Thi Sada Bint-e-Ali.

Nook-e-Naiza Se Sada Deta Hai Ibn-e-Zahra.
Loag Zainab Ki Taraf Dekh Rahe Hain Baba.
Zair-e-Khanjar Nazar Aati Hai Tumhari Beti.

Imtehaan Ghairat-e-Sajjad Ka Kaisa Ho Ga.
Qatal Darbar Mein Sajjad Dobarah Ho Ga.
Mangney Aaya Hai Bani Ko Kaneezi Mein Shaqi.

Kehdo Zalim Se Mujhe Mar Le Aa Kar Durrah.
Baba Zainab Se Yeh Manzar Nahi Dekha Jata.
Marta Hai Woh Mere Bhai Ke Honton Pe Chari.

Sar Khulay Sham Mein Sadaat Jidhar Jate Hain.
Loag Pathar Liye Pehle Hi Nazar Aate Hain.
Aaj Bazar Mein Mar Jaye Na Koi Bibi.

Aap Ke Samne Jo Baat Nahi Karti Thi.
Aaj Bazar Mein Woh Beti Bhi Khutbay De Gi.
Aap Ke Lehjay Ki Iss Waqt Zarorat Hai Bari.

Abhi Darbar Se Pehle Hi Guzar Jaye Gi.
Sun Liya Sani-e-Zahra Ne Tu Mar Jaye Gi.
Loag Kehte Hain Hussain Ibn-e-Ali Ko Bagi.

Sare Bazar Ne Hans Hans Ke Tamasha Dekha.
Our Bhi Shimar Ne Iss Baat Pe Oss Ko Mara.
Jab Tamachon Pe Sakina Yeh Tarap Kar Boli.

Baab-e-Saat Ka Jo Bazar Se Dekha Manzar.
They :TAKALLUM: Wahan Sab Loag Uthaye Pathar.
Sani-e-Zahra Yeh Kehti Hoi Naqay Se Giri.

Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khowan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2021-22:
Composition: :Mir Hasan Mir, Shoaib Raza Shobi:

#YaAliAdrikni
#NohayLyrics
#tajpoint

Ya Ali Adrikni Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu 2021 Write Up Poster Image

Ya Ali Adrikni Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu 2021

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!