Aye Sham Ke Logo Main Bint-e-Ali Hoon Lyrics In Urdu 2009
Aye Sham Ke Logo Main Bint-e-Ali Hoon
Main Waris-e-Tatheer Hoon Namoos-e-Nabi(SAWW) Hoon.
Bazaar Se Darbar Mein Le Aye HO Mujh Ko.
Chahoon Tu Jala Sakti Hoon Khutbon Se Main Tum KO.
Sabir Ki Behan Hoon Jo Main Khamosh Khari HOon.
Afsoos Kaneezi Mein Osse Mang Rahe Ho.
Tum Jis Ke Ghulamo Ki Ghulami Mein Rahe Ho.
Ye Zulm Na Ho Ga Kabhi Main Zinda Abhi Hoon.
Zinda Tha Tu Dar Dar Ke Hamesh Hi Lare Ho.
Ab sar Hai Tu Honton Pe Chari Maar Rahe Ho.
Tum Kitne Buhadur Ho Main Yeh Dekh Rahi Hoon.
Tum Apne Payamber(SAWW) Ko Agar Dekhna Chahon.
Naize Pe Jo Yeh Sar Hai Isse Ghoor Se Dekho.
Humshakal-e-Payamber(SAWW) Hai Yeh Main Iss Ki Phophi Hoon.
Our Iss Se Kathan Waqt Kya HO Ga Mere Mabood.
Fiza(SA) Ke Tarafdar Hain Darbar Mein Mojood.
Main Pusht Pe Fiza(SA) Ke Khari Dekh Rahi Hoon.
Zahra(SA) Ko Bhi Darbar Mein Tum Ne Tha Bulaya.
Dabar Mein Main Bhi Hoon Magar Farq Hai Itna.
Parde Mein Thin Wo Our Main Be Parda Khari Hoo.
Zanjeeron Mein Jakra Jo Yeh Bemar Khara Hai.
Sajda Isse Kabay Ki Faseelon Ne Kiya Hai.
Mansab Mein Bara Wo Hai Main Rishte Mein Bari Hoo.
Hone Lagin Darbar Mein Mushtarka Azanein.
:REHAN: Idhar Naam-e-Nabi(SAWW) Goonja Fiza Mein.
Bibi(SA) Ne Kaha Fakhar Se Main Jeet Gayi Hoo.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2008-09:
#NohayLyrics
#tajpoint