Dar-e-Fatima Zahra Se Dhuwaan Uthta Tha Lyrics In Urdu and Roman Urdu
دَرِ فاطمہؑ زہراؑ سے دھواں اُٹھتا تھا
Shoor Galiyon Mein Madine Ki Ajab Barpa Tha.
Oss Ko Jhutlaya Hai Darbar Mein Kalma Go Ne.
Jis Ki Tazeem Zamane Ka Nabi Karta Tha.
Kaun Mastoor Hai Darbar Mein Kyun Aayi Hai.
Qehqahey Mar Ke Zahra Ka Addo Hansta Tha.
Dukhtar-e-Ahmad-e-Mursal Pe Reham Mat Karna.
Dar-e-Zahra Ko Jala Kar Yeh Laeen Kehta Tha.
Dono Beton Ko Liye Roti Palat Aayi Hai.
Issi Darbar Mein Baba Ka Kabhi Charcha Tha.
Itni Be Rehmi Se Bi Bibi Pe Giraya Gaya Dar.
Dar Ki Kelon Se Bhi :HASNAIN: Lahu Behta Tha.
Poet: :Zawwar Syed Hasnain Abbas Al-Hasani:
#AyameFatmiyah
#DareFatimaZahra
#NohaLyrics
#tajpoint