Sawar Kho Gaye Syed Raza Abbas Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
سوار کھوگئے اور راہوار روتے رہے
Yeh Murtajiz Se Kaha Jab Uqab-o-Ashal Ne.
Biyaan Hoon Kaisay Jo Manzar Dikhaye Maqtal Ne.
Kiya Sawaron Pe Saya Ghamo Ke Badil Ne.
Humein Rulaya Hai Har Ik Qadam Har Ik Pal Ne.
Kissi Bhi Haal Mein Hoga Na Kam Malal Apna.
Biyan Kartay Hain Ik Dosrey Se Haal Apna.
Sawar Kho Gaye Our Rahwar Rotay Rahe.
Yeh Ro Ke Kehne Laga Rahwar Akbar Ka.
Bapa Tha Khaimon Mein Kuhram Kaisa Manzar Tha.
Main Jab Shabeeh-e-Muhammad Ko Le Ke Ran Ko Chala.
They Pichey Pichey Mere Badshah-e-Karb-o-Bala.
Sada Yeh Aati Thi Kuch Dair Tu Ruko Akbar.
Palat Palat Ke Mujhe Dekhtey Raho Akbar.
Kaha Uqab Ne Maidaan Mein Youn Laray Akbar.
Idhar Saron Ko Uraya Udhar Barhey Akbar.
Lagi Jo Seene Mein Barchi Tu Gir Gaye Akbar.
Main Dekhta Hi Raha Phir Na Uth Sakay Akbar.
Sadaein Roney Ki Aane Lagin Madine Se.
Jo Khainchi Baap Ne Barchi Pisar Ke Seene Se.
Yeh Sun Ke Ashal-e-Abbas Ro Ke Kehne Laga.
Uthaye Mashk-o-Alam Jab Chaley Mere Maula.
Nazar Mein Roab Tha Hathoon Mein Aik Tha Naiza.
Lab-e-Furat Pohanch Kar Bhira Jo Mashkeza.
Woh Mujh Se Kehte They Ashal Sakina Pyasi Hai.
Mujhe Khiyam Mein Le Chal Sakina Pyasi Hai.
Qadam Jo Main Ne Barhaye Tu Shoor Uthnay Laga.
Na Jaye Khaimay Mein Abbas Sab Karo Hamla.
Katay Jo Hath Alam Khak Par Howa Thanda.
Chidi Jo Mashk Tu Pani Bhi Beh Gaya Sara.
Laga Jo Gurz Tu Phir Na Sanbhal Sakay Maula.
Zameen Pe Zeen Se Chehray Ke Bal Girey Maula.
Kaha Hussain Ke Rahwar Ne Yeh Rotay Hoye.
Ghareeb-e-Zahra Jo Maqtal Ki Simt Jane Lagay.
Kiya Tha Sani-e-Zahra Ne Khud Sawar Aa Ke.
Kaha Hussain Ne Aye Murtajiz Barho Aagay.
Qadam Main Kaisay Barhata Sakina Lipati Thin.
Na Le Ke Ja Mere Baba Ko Mujh Se Kehti Thin.
Main Apne Maula Ko Maqtal Mein Le Ke Jab Pohancha.
Ajeeb Khof Tha Dushman Pe Shair-e-Haider Ka.
Akelay Pyasay Ko Lakhon Ne Mil Ke Ghair Liya.
Howa Ghareeb Pe Charon Taraf Se Youn Hamla.
Ho Garam Khak Ya Pathar Ho Teer Ya Naiza.
Jo Jis Ke Hath Mein Aaya Hussain Ko Mara.
Girey Zameen Pe Tu Syeda Ne Tham Liya.
Pohanch Ke Shimar Ne Khanjar Galay Pe Jab Rakha.
Tarap Ke Oss Ghari Zalim Se Syeda Ne Kaha.
Na Mar Lal Mera Teen Din Ka Hai Pyasa.
Sadaein Deti Rahi Maa Nahi Ruka Khanjar.
Main Khak Urata Raha Kat Gaya Hussain Ka Sar.
Tha Murtajiz Ka Yeh :ZEESHAN: Our :RAZA: Noha.
Akela Laut Ke Khaimon Mein Jab Main Aaya Tha.
Sakina Samjhi Ke Maqtal Se Aa Gaye Baba.
Nazar Na Aaye Jo Baba Tu Mujh Se Ro Ke Kaha.
Hai Noor Zakhmo Se Kyun Tu Ne Sar Jhukaya Hai.
Bata Kahan Mere Baba Ko Chor Aaya Hai.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Noha Volum: :Syed Raza Abbas Zaidi 2021-22:
Composition: :Syed Raza Abbas Zaidi:
#SawarKhoGaye
#NohayLyrics
#tajpoint