Madad Ali as Ki Shahid Baltistani Lyrics In Urdu 2022
Madad Ali as Ki Shahid Baltistani Write Up
Jee Maula.
Narah Laga Ke Haider Ka Toor De Sab Dewarein.
Yeh Himmat Na Totay Yeh Daman Na Chotay.
Chal Bandh Le Kamar Joor Ke Himmat.
Narah Laga De Haidery Madad Ali Ki Mil Jaye Gi.
Lakh Zabanein Kat Jaein Zikar-e-Wilayat Hona Hai.
Hath Katein Ya Sar Apne Farsh-e-Azza Tu Bichna Hai.
Rasta Rokay Gi Dunya Ishq Ke Maron Ka Jab Bhi.
Ali Haq Elia Hajat Rawa Mushkil Kusha Haider.
Ghar Se Abu Talib Ke Jab Bint-e-Asad Kabay Pohanchi.
Our Bibi Ki Aamad Par Shaq Jis Dam Dewar Hoi.
Dast-e-Khuda Thamay Ga Mujhe Yeh Keh Kar Dewar Hansi.
Be Khatar Kood Para Atish-e-Namrood Mein Ishq.
Aqal Hai Mehway Tamasha-e-Lab-e-Baam Abhi.
(Dr Allama Muhammad Iqbal).
Azm-e-Khalil-e-Dawar Tha Sholon Par Bhi Qayam Tha.
Sun Kar Yeh Namrood Jala Ibrahim Ne Jab Yeh Kaha.
Main Hoon Ashiq Haider Ka Aag Abhi Bujh Jaye Gi.
Bistar Peygamber Ka Hai Marzi-e-Rab Ka Takiya Hai.
Talwaron Ka Saya Hai Khatray Se Kya Khatrah Hai.
Sona Hai Tu Sona Hai So Gaye Khud Yeh Keh Ke Ali.
Arsh-o-Kursi Loh-o-Qalam Hai Sab Ka Narah Ali Ali.
Bool Raha Hai Dono Jahano Ka Zarrah Zarrah Ali Ali.
Har Mushkil Mein Deen-e-Nabi Ka Aik Sahara Ali Ali.
Badar-o-Ohad, Siffeen-o-Jamal Our Khaybar Mein Tha Ali Ali.
Bola Khuda Aye Mere Nabi Parhtay Raho Bas Nad-e-Ali.
Dunya Se Jab Dil Totay Apna Paraya Jab Chotay.
Kuch Na Samajh Mein Aaye Tujhe Ghabrana Mat Aye Banday.
Ban Jaein Gay Kam Tere Kehna :TAKALLUM: Ali Ali.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Poet: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Shahid Baltistani:
Manqabat Volume: :Shahid Baltistani 2021-22:
Composition: :Shahid Baltistani:
#MadadAliKi
#ManqabatLyrics
#tajpoint