Thori Hai Subbaib Abidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Thori Hai Subbaib Abidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

تھوڑی ہے

Hamari Qabar Mein Cheekh-o-Pukar Thori Hai.
Ali Ali Ki Sada Hai, Fishar Thori Hai.
Kabhi Ali Ki Wilayat Ka Soda Mat Karna.
Khuda Ka Deen Hai Yeh Karobar Thori Hai.
Phir Aaj Khul Ke Hi Meesum Karey Ga Madh-e-Ali.
Zaban Katni Koi Bar Bar Thori Hai.
Dar-e-Ali Pe Jabeen Khud Hi Sajdah Karti Hai.
Yahan Jabeen Pe Humein Ikhteyar Thori Hai.
Ali Se Bugz Ki Rasi Tu Toot Jaye Gi.
Daraz Jitni Bhi Ho Payedar Thori Hai.
Chalo Yeh Mana Nuseri Bhi Hai Galat Lekin.
Muqassaron Ki Tarha Be Shumar Thori Hai.
Abhi Se Nokar-e-Meesum Ko Dar Ke Toktay Ho.
Abhi Tu Kofiyon Mimber Hai, Daar Thori Hai.
Khila Rahe Hain Ali Our Kha Rahe Hain Hum.
Mowaliyon Ko Gham-e-Rozgar Thori Hai.
Yeh Jaan Hatheli Pe Rakh Ke Hum Unn Ko Chahtey Hain.
Humein Ali Se Zabani Yeh Pyar Thori Hai.
Ali Ka Zikar Ibadat Hai So Karein Gay :ASAD:.
Damag Par Koi Fatwa Sawar Thori Hai.
Poet: :Asad Ali Asad:
Manqabat Khuwan: :Subbaib Abidi:
Manqabat Volume: :Subbaib Abidi 2021-22:
#ThoriHai
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!