Jo Loag May-e-Ishq Se Sarshar Rahein Gaye Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2004

Jo Loag May-e-Ishq Se Sarshar Rahein Gaye Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2004

Jo Loag May-e-Ishq Se Sarshar Rahein Gaye Mir Hasan Mir.

Mehshar Mein Wohi Khuld Ke Haqdar Rahein Gay.

Insaf Qayamat Mein Yeh Ayelan Karey Ga.
Jo Dushman-e-Shabeer Hai Dozakh Mein Rahe Ga.
Janat Mein Faqat Sheh Ke Azadar Rahein Gay.

Abbas Ki Aamad Pe Machay Gi Woh Tabahi.
Aaye Ga Nazar Phir Koi Lashkar Na Sipahi.
Maidaan Mein Faqat Lashon Ke Anbar Rahein Gay.

Kehte Hain Yeh Tareekh Ke Mazboot Isharay.
Pehlu Mein Paray Rehne Se Kya Hota Hai Pyaray.
Ghaddar Tu Ghaddar Hain Ghaddar Rahein Gay.

Maidaan Mein Hoon Mehfil Mein Hoon Ya Our Kahin Hoon.
Mimber Pe Hoon Keh Takht Pe Ya Khak Nasheen Hoon.
Sardar Tu Sardar Hain Sardar Rahein Gay.

Yeh Parcham-e-Ghazi Ki Ziyarat Nahi Kartay.
Yeh Matam-e-Shabeer Mein Uth Bhi Nahi Saktay.
Badkar Tere Hath Tu Bekar Rahein Gay.

Na Inn Pe Karam Hoga Na Badlay Ga Muqadar.
Inn Bugz Ke Maron Ka Tu Mar Jana Hai Bahatar.
Dunya Mein Rahein Gay Bhi Tu Bekar Rahein Gay.

Bazoon Hain Qalam Inn Ke Koi Keh Na Sakay Ga.
Ghazi Ka Alam Oncha Hai Oncha Hi Rahe Ga.
Abbas-e-Alamdar, Alamdar Rahein Gay.

Karday Tu Sar-e-Bazm Yeh Ayelan Bhi :GOHAR:.
Ghairon Ko Ijazat Nahi Aane Ki Yahan Par.
Dil Mein Tu Meri Jaan Mere Sarkar Rahein Gay

Poet: :Gohar Jarchvi:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2003-04:

#JoLoag
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Jo Loag May-e-Ishq Se Sarshar Rahein Gaye Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2004 Write Up Poster Image

Jo Loag May-e-Ishq Se Sarshar Rahein Gaye Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2004

Video Link

Leave a Comment

error: Content is protected !!