Hamarey Hain Ya Hussain Page 1 Nadeem Sarwar Lyrics 2011
Hamarey Hain Ya Hussain Page 1 Nadeem Sarwar.
Main Karbala Mein Khara Hoon Libas-e-Soag Mein Hoon.
Hai Arbaeen Hussain Our Hussaini Lashkar Ka.
Caroroon Loag Hain Sare Libas-e-Soag Mein Hain.
Har Aik Nasal Har Ik Rang Har Zaban Ke Loag.
Nigahein Roza-e-Shabeer Ke Tawaf Mein Hain.
Labon Pe Haye Hussaina Ghareeb Haye Hussain.
Khiyal Aata Hai Iksath Sin-e-Hijjri Ka Our Oss Muharram Ka.
Yehi Maqam Tha Ik Banda-e-Khuda Jis Ka Hussain Naam Tha.
Rah-e-Khuda Mein Hatheli Pe Sar Uthaye Hoye.
Har Aik Door Ke Insaan Ki Aabro Ke Liye.
Woh Apne Dil Pe Bahatar Ke Zakhm Uthata Raha.
Woh Apne Jism Pe Zakhmo Pe Zakhm Khata Raha.
Qadam Barhata Raha, Qadam Barhata Raha.
Bas Aik Azam Tha Insan Surkhuru Ho Jaye.
Bas Aik Dhun Thi Keh Insaniyat Na Mar Jaye.
Insaniyat Pe Hai Ahsaan Hussain Ka.
Ahsan Hi Tu Hai Ahsan Ka Sila.
Har Dil Mein Ya Hussain Har Dil Mein Karbala.
Bedar Kar Diya Jo Zamana Hussain Ne.
Be Sakhta Tamam Zamana Yeh Keh Utha.
Keh Hamarey Hain Ya Hussain.
Insaniyat Ki Shan Barhai Hussain Ne.
Insaniyat Bashar Ko Sikhayi Hussain Ne.
Insaniyat Ki Pyas Bhojayi Hussain Ne.
Insan Jab Hussain Ke Paikar Mein Dhal Gaya.
Insaniyat Pukari Wa Tu Izzu Man Tasha.
Keh Hamarey Hain Ya Hussain.
Dunya Ke Har Adab Mein Hai Hissa Hussain Ka.
Dunya Ki Har Zabaan Pe Hai Qabza Hussain Ka.
Insaan Samajh Raha Hai Yeh Rutba Hussain Ka.
Tareekh Ko Hussain Ne Hairan Kar Diya.
Sare Jahan Ke Ahl-e-Qalam Ne Yeh Likh Diya.
Keh Hamarey Hain Ya Hussain.
Soray Mein Maa-o-Teen Ke ALLAH Ne Sunaya.
Takhleeq-e-Kul Mein Insaan Ashraf Tujhe Banaya.
Insaan Ka Dard Dil Mein Insan Ke Utara.
Insaniyat Ka Maktab Ghar Panjtan Ka Rakha.
Oss Ghar Mein Panjtan Ke Ik Shehar Ko Basaya.
Phir Apna Khon De Ke Oss Shehar Ko Sanwara.
Yeh Shehar Nainawa Hai Yeh Shehar Mariya Hai.
Yeh Shehar Karbala Hai, Yeh Shehar Karbala Hai.
Dil Hai Tu Karbala Dil Hai Tu Ya Hussain.
Insaniyat Samajhne Chalo Karbala Chalo.
Haan Tham Lo Hussain Ke Daman Ko Tham Lo.
Hur, Jaun Our Habib Ki Saf Mein Kharey Raho.
Dil Hai Tu Ab Hussain Ki Aawaz Ko Suno.
Farmatay They Hussain Woh Insan Nahi Hai.
Lootay Jo Dil Ka Chain Woh Insan Nahi Hai.
Roye Na Jis Ke Nain Woh Insan Nahi Hai.
Hans De Jo Sun Ke Bain Woh Insan Nahi Hai.
Insaniyat Banaye Woh Insan Hai Insan.
Insaan Ka Dukh Uthaye Woh Insan Hai Insan.
Dars-e-Wafa Sikhaye Woh Insan Hai Insan.
Jo Sab Pe Reham Khaye Ilm-o-Amal Barhaye.
Insaniyat Banaye Woh Insan Hai Insan.
Insan Ko Hussain Ne Insaan Bana Diya.
Insaniyat Ke Lab Pe Musalsal Thi Yeh Sada.
Do Tarha Ke Howa Kartay Hain Jahan Mein Insaan.
Hain Juda Rastay Dono Ke Baqool-e-Quraan.
Aadmi Aik Yazid Azali Mein Ubhra.
Aik Insan Hussain Ibn-e-Ali Mein Ubhra.
Oss Taraf Kham Khiyali Niya Islam Banay.
Iss Taraf Azm-e-Jalali Ke Shariyat Na Mitay.
Oss Taraf Saltanat-o-Dolat-o-Taqat Ka Garor.
Iss Taraf Chota Sa Ghar Faqoon Mein Hai Manba-e-Noor.
Aik Taqat Ke Takabbur Mein Jo Itra Ke Chala.
Dosra Nana Ke Marqad Se Dua Pa Ke Chala.
Aik Nu Lakh Ke Lashkar Ko Liye Sath Chala.
Dosra Gaud Mein Asghar Ko Liye Sath Chala.
Oss Taraf Naizay They Talwarein Thin Our Bhalay They.
Iss Taraf Shoq-e-Shahadat Liye Dil Walay They.
Oss Taraf Jashan Manatay They Zamane Walay.
Iss Taraf Bekas-o-Be Aas Madine Walay.
Ik Taraf Tashna Dahan Sab Ke Sab Khushk Zabaan.
Unn Ka Maqtal Tha Jahan Rait Sari Thi Thaan.
Door Thi Nehar Rawaan Al-Hafiz-o-Al-Amaan.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2010-11:
#HamareyHainYaHussain
#NohayLyrics
#tajpoint
Hamarey Hain Ya Hussain Page 1 Nadeem Sarwar
Hamarey Hain Ya Hussain Page 1 Nadeem Sarwar Old Noha
Hamarey Hain Ya Hussain Page 1 Nadeem Sarwar Lyrics
Hamarey Hain Ya Hussain Page 1 Nadeem Sarwar Write Up