Mery Zakhmi Baba Syed Ali Mehdi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
میرے زخمی باباؑ
Kulsoom Pukari Ro Kar Mere Zakhmi Baba.
Tooti Hai Qayamat Hum Par Mere Zakhmi Baba.
Yeh Kis Ne Taig Chalai Qandeel-e-Deen Bhojayi.
Barpa Hai Jahan Mein Matam Magmoom Hai Sari Khudai.
Rotay Hain Sare Payamber Mere Zakhmi Baba.
Hai Zard Tumhara Chehra Our Sar Se Lahu Jari Hai.
Khamosh Ho Kuch Tu Bolo Kyun Tum Pe Gashi Tari Hai.
Kyun Zulm Howa Hai Tum Par Mere Zakhmi Baba.
Aankhein Tu Kholiye Baba Sun Lijiye Mera Noha.
Zainab Sar Peet Rahi Hain Hasnain Hain Mehway Giriya.
Hai Ghar Mein Bapa Ik Mehshar Mere Zakhmi Baba.
Hai Kaun Hamara Baba Tum Hi Ho Sahara Baba.
Amma Bhi Nahi Hain Ab Tu Kuch Bolo Khudara Baba.
Chalte Hain Qalb Pe Khanjar Mere Zakhmi Baba.
Haye Mazloom Namazi Aayi Hain Madar-e-Ghazi.
Be Haal Hain Ranjeda Hain Tooti Hai Qayamat Tazi.
Hai Sath Abbas-e-Dilawar Mere Zakhmi Baba.
Kis Tarha Chupaon Sab Kuch Main Ghazi Ki Madar Se.
Dekha Jo Haal Tumhara Be Sakhta Gir Gayi Sar Se.
Maa Umm Ul-Banin Ki Chadar Mere Zakhmi Baba.
Jab Kholi Aankh Ali Ne Sar Choma Bazu Kissi Ne.
Lekin Rotay Hoye Chomay Haider Ke Pair Jarri Ne.
Phir Bola Shair Tarap Kar Mere Zakhmi Baba.
Haider Ne Pas Bulaya Bachoon Ko Galay Se Lagaya.
Kulsoom Ka Matha Choma Our Ro Ro Kar Farmaya.
Bas Ab Nahi Kehna Dukhtar Mere Zakhmi Baba.
Haider Ka Lahu Behta Tha Ghar Mein Kuhram Bapa Tha.
:YASIR: Woh Shoor Azza Ka Mehshar Barpa Karta Tha.
Tha Marsiya Sab Ke Lab Par Mere Zakhmi Baba.
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Noha Khuwan: :Syed Ali Mehdi:
Noha Volume: :Syed Ali Mehdi 2021-22:
Composition: :Yasir Raza Yasir:
#MeryZakhmiBaba
#NohayLyrics
#tajpoint