Ummat Ne Khoon Rolaya Phir Aal-e-Mustafa Ko Syed Ali Naqvi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Ummat Ne Khoon Rolaya Phir Aal-e-Mustafa Ko Syed Ali Naqvi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

اُمّت نے خوں رُلایا پھر آلِؑ مصطفیؐ کو

Mara Hai Kalma Go Ne Masjid Mein Murtaza Ko.

Chayi Hai Phir Udasi Bint-e-Nabi Ke Ghar Mein.
Ummat Ne Hai Ujara Gulzar-e-Fatima Ko.
Do Lakht Sar Howa Hai Aankhein Bhari Hain Khoon Se.
Qatil Ne Aisay Mara Maula-e-Do Sara Ko.
Zahra Ka Qatal Kar Ke Haider Ka Qatal Karna.
Kya Ajar Yeh Diya Hai Ummat Ne Mustafa Ko.
Baba Ko Yaad Kar Ke Hasnain Muztarib Hain.
Ik Pal Sakoon Nahi Hai Abbas-e-Ba Wafa Ko.
Umm Ul-Baneen Ruqaiya Roti Hain Umm-e-Salma.
Gham Kha Gaya Ali Ka Kulsoom-o-Aliya Ko.
Noha Kuna Hai Kaba Khizra Hai Mehway Giriya.
Larzaan Hai Qabar-e-Zahra Sadma Hai Aqarba Ko.
Chehra Bhi Khoon Se Tar Hai Sar Bhi Shikasta Hai.
Haider Ne Aisay Chora Iss Alam-e-Fana Ko.
Shabeer Aliya Ko Gash Mein Bhi Pochtay They.
Bholay Kahan They Haider Sham Our Karbala Ko.
Kofay Mein Hain Pareshaan Sare Yateem Bachray.
Dhondein Kahan Woh Aakhir Maula-e-Basafa Ko.
Lanat Ho Ta Qayamat Tujh Par Oh Ibn-e-Muljim.
Sajday Mein Tu Ne Mara Mazloom-o-Be Khata Ko.
Ro Kar Parha :ALI: Ne Noha Jo Yeh :IRAM: Ka.
Pursa Diya Jahan Ne Haider Ka Fatima Ko
Poet: :Shumaila Iram:
Noha Khowan: :Syed Ali Naqvi:
Noha Volume: :Syed Ali Naqvi 2021-22:
Composition: :Syed Ali Naqvi,Kashan Abidi:
#UmmatNeKhoonRolaya
#NohayLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!