Mukhtar e Aal e Muhammad Mohsin Naqvi Lyrics In Urdu

Mukhtar e Aal e Muhammad Mohsin Naqvi Lyrics In Urdu

مختارِ آلِؑ محمدؐ

Khursheed-e-Shujat Ki Kiran Hai Mera Mukhtar.
Be Khof Khiyalon Ka Badan Hai Mera Mukhtar.
Israr-e-Aqeedat Ka Chaman Hai Mera Mukhtar.
Dharti Pe Daleri Ka Gagan Hai Mera Mukhtar.
Mukhtar Ki Haibat Hai Woh Arbab-e-Sitam Mein.
Rasha Nazar Aata Hai Moarikh Ke Qalam Mein.
Mukhtar Ko Hum Loag Barhatay Nahi Had Se.
Lekin Humein Nafrat Hai Zamane Ke Hasad Se.
Ab Tak Jo Sar Afraz Ho Sarwar Ki Madad Se.
Mehshar Mein Miley Dad Jissay Haq Ke Asad Se.
Aisa Koi Sawant, Jari, Hur Nahi Dekha.
Mukhtar Sa Phir Koi Bahadur Nahi Dekha.
Bijli Ko Kabhi Gir Ke Palattay Hoye Dekho.
Ya Jang Mein Dharti Ko Ulattay Hoye Dekho.
Tofaan Kabhi Qatron Mein Simattay Hoye Dekho.
Chiriyon Pe Oqabaon Ko Jhapattay Hoye Dekho.
Chomay Jo Kabhi Maut Koi Zard Sa Matha.
Tum Sochna Mukhtar Ki Talwar Mein Kya Tha.
Aye Qismat Islam Ke Manhos Sitaro.
Tugyani Tashkaik Ke Behtay Hoye Dharo.
Aye Maka Tah-e-Khak Saqeefa Ke Kinaro.
Chehron Se Riya Pash Naqabein Tu Utaro.
Pehle Kissi Maloon Ki Taeed Karo Tum.
Phir Shoq Se Mukhtar Pe Tanqeed Karo Tum.
Mukhtar Ka Chehra Hai Keh Subhon Ka Warq Hai.
Matha Hai Keh Ik Safah e Anjeel Adaq Hai.
Rukhsar Ki Rangat Hai Keh Ijaz-e-Shafaq Hai.
Honton Pe Dhanak Hai Keh Yeh Debacha e Haq Hai.
Hamlay Hain Keh Aasar e Payamber Ki Dua Ke.
Mukhtar Ke Bazu Hain Keh Parcham Hain Qaza Ke.
Aankhein Hain Keh Fanoos Rukh-e-Arsh-e-Barin Par.
Palkein Hain Keh Jhomar Hain Sitaron Ki Jabeen Par.
Zulfein Hain Keh Badil Se Rukh-e-Mohar-e-Mubeen Par.
Haibat Hai Keh Ik Hashar Sa Kofay Ki Zameen Par.
Yeh Phool Yeh Jugnu Yeh Falak Taab Sitarey.
Mukhtar Ki Talwar Se Jhartay Hain Shararey.
Poet: :Mohsin Naqvi Shaheed:
#MukhtareAaleMuhammad
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!