Allah Ye Kaisa Manzar Hai Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2010
Allah Ye Kaisa Manzar Hai Mir Hasan Mir.
Yeh Kaun Si Mastora Hai Kya Mang Rahi Hai.
Islam Ki Khidmat Ka Sila Mang Rahi Hai.
Har Sahib-e-Ghairat Se Rida Mang Rahi Hai.
Pardais Mein Marne Ki Dua Mang Rahi Hai.
Afsurda Hai Aflak Siyah Posh Zameen Hai.
Jibreel Zara Dekh Yeh Zainab Tu Nahi Hai.
Be Pardah Shamiyon Mein Aoulad-e-Payamber Hai.
Nida De Raha Hai Yeh Hans Kar Manadi.
Aye Logo Gharon Se Nikal Aao Jaldi.
Sazaein Do Inn Ko Yeh Bagi Hain Bagi.
Bajtay Hain Shadiyaney Har Hath Mein Pathar Hai.
Kahan Khof Khata Hai Zalim Kissi Se.
Bulata Hai Ik Ik Ko Woh Naam Le Ke.
Har Ik Bibi Chupti Hai Zainab Ke Pichey.
Khud Ko Chupaye Zainab, Fizza Ki Pusht Par Hai.
Batata Hai Shimar Aa Ke Khud Shamiyon Ko.
Keh Kata Hai Main Ne Issi Se Saron Ko.
Dikhata Hai Lehra Keh Phir Bibiyon Ko.
Hathoon Mein Oss Shaqi Ke Ik Khoon Bhara Khanjar Hai.
Howa Hai Asar Itna Binaiyon Par.
Ajab Kashmakash Mein Hai Asghar Ki Madar.
Har Ik Naiza Bardar Ke Pas Ja Kar.
Ro Ro Ke Pochti Hai Kya Yeh Mera Asghar Hai.
Aseeron Pe Kaisi Musibat Bani Hai.
Har Ik Bibi Bazar Mein Dhondti Hai.
Sakina Kahin Bheer Mein Kho Gayi Hai.
Mehshar Se Pehle Barpa Bazar Mein Mehshar Hai.
Qayamat Mein Kaisi Qayamat Hai Barpa.
:TAKALLUM: Hai Godi Mein Asghar Ka Lasha.
Adalat Mein Khaliq Ki Aati Hain Zahra.
Nazrein Jhuki Hain Sab Ki Nabiyon Ke Labon Par Hai.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khowan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2009-2010:
#AllahYeKaisaManzarHai
#NohayLyrics
#tajpoint