Taboot Hasan Ka Qaiser Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu
تابوت حسنؑ کا
Zakhmi Howa Hai Teeron Se Haye Taboot Hasan Ka.
Our Surkh Ho Gaya Hai Haye Rang Bhi Kafan Ka.
Apne Jigar Ko Thamay Shabbar Tarap Rahe Hain.
Bhai Ki Bekasi Pe Shabeer Ro Rahe Hain.
Do Jag Mein Ho Raha Hai Matam Sheh-e-Zaman Ka.
Taboot-e-Mujtaba Par Jo Teer Aa Rahe Hain.
Aal-e-Nabi Ke Dil Par Woh Zulm Dha Rahe Hain.
Murjha Gaya Hai Guncha Zahra Tere Chaman Ka.
Shabbar Ka Lasha Wapis Shabeer La Rahe Hain.
Zainab Ke Sath Mil Kar Paikaan Nikaltay Hain.
Jari Howa Lahu Phir Haider Ke Gulbadan Ka.
Abbas Ko Wafa Ne Paband Kar Diya Hai.
Warna Janaza Rokay Kis Mein Yeh Hosla Hai.
Seene Mein Ho Raha Hai Ahsas Ik Ghutan Ka.
:RIZWAN: Ka Yeh Noha :QAISER: Ne Youn Parha Hai.
Matam Bapa Howa Hai Giriya Na Ruk Saka Hai.
Maula Ne Izn Bakhsha Dono Ko Hai Sukhan Ka.
Poet: :Syed Rizwan Rizvi:
Manqabat Khuwan: :Qaiser Abbas:
Manqabat Volum: :Qaiser Abbas 2020-21:
Composition: :Qaiser Abbas:
#TabootHasanKa
#ManqabatLyrics
#tajpoint