Kazim Ki Zanjeerain Qaiser Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu
کاظمؑ کی زنجیریں
Taboot Se Kazim Ki Zanjeerein Latakti Hain.
Jo Jism Ke Hison Ko Kha Kha Ke Guzarti Hain.
Tabdeel Kiye Kitne Zindan Hain Qaidi Ke.
Aaram Nahi Pal Bhi Diya Zehar Hai Zalim Ne.
Zindan Mein Kazim Ki Ab Sansein Ulajhti Hain.
Baghdad Ke Pul Par Hain Be Goor-o-Kafan Kazim.
Ghurbat Pe Karein Jin Ki Yeh Arz-o-Samaa Matam.
Burqay Mein Koi Bibi Lashay Pe Sisakti Hain.
Aa Kar Do Raza Kandah Tadfeen Ko Aa Jao.
Aye Wali-e-Mashhad Tum Baghdad Chaley Aao.
Hai Dhop Bohat Maula Zanjeerein Bhi Tapti Hain.
Masroof-e-Ibadat Our Masroof-e-Azza Reh Kar.
Tableeg-e-Khuda Ki Hai Zindaan Ke Sitam Seh Kar.
Kazim Ki Sabhi Wasfein Sajjad Se Milti Hain.
Aao Aye Azadaro Dein Fatima Ko Pursa.
Mara Hai Laeeno Ne Be Jurm-o-Khata Maula.
Yeh Halqa-e-Matam Se Aawazein Ubharti Hain.
Shab-o-Roz Karein Giriya Halaat Pe Kazim Ke.
:QAISER: Bhi Parhey Noha Halaat Pe Kazim Ke.
Likh Likh Ke :GHULAM: Aankhein Haye Gham Se Barasti Hain.
Poet: :Ghulam Ali:
Noha Khuwan: :Qaiser Abbas:
Noha Volum: :Qaiser Abbas 2022-23:
Composition: :Qaiser Abbas:
#KazimKiZanjeerain
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com