Arzoo e Karbala Hasnain Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Arzoo e Karbala Hasnain Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu

آرزوئے کربلا

Tarapta Hai Yeh Dil Jab Karbala Ko Loag Jate Hain.
Mujhe Bhi Koi Keh De Aa Tujhe Maula Bulatay Hain.
Tamana Karbala Jane Ki Sughra Se Koi Pochay.
Chupa Kar Chehra Sughra Se Bohat Abbas They Rotay.
Jo Sughra Kehti Thi Akbar Bhi Mujh Ko Choray Jate Hain.
Rawaan Hotey Hain Aanso Aankhon Se Karta Hai Dil Matam.
Azza Khane Ki Janib Main Uthata Hoon Qadam Oss Dam.
Qadam Jab Janib-e-Karb-o-Bala Zair Uthatay Hain.
Jahan Zainab Ne Dekha Tha Galuye Khushk Pe Khanjar.
Wahan Kartay They Giriya Our Matam Peettay They Sar.
Jigar Phatta Hai Sun Kar Loag Jab Aa Kar Batatay Hain.
Pohanch Jaon Wahin Tab Kash Main Bhi Sar Ke Bal Chal Ke.
Bawaqt-e-Subha Jab Ashor Ke Din Matami Halqay.
Wahan Par Matam-e-Zanjeer Kar Ke Khoon Bahatay Hain.
Kafan Na Mil Saka Pyason Ko Iss Gham Se Tarapta Hai.
Ossay Hasrat Se Ro Ro Kar Na Jane Wala Takta Hai.
Kafan Jo Apni Khatir Karbala Se Loag Latay Hain.
Koi Jab Matami Ke Samne Hai Karbala Kehta.
Gham-e-Shabeer Mein Woh Dair Tak Magmoom Hai Rehta.
Na Pocho Oss Ghari Shabeer Kitna Yaad Aate Hain.
Jo Apne Ashk Sheh Ke Gham Ki Dori Mein Parotay Hain.
Lipat Kar Turbat-e-Shabeer Se Jo Loag Rotay Hain.
Habib Ibn-e-Mazahir Unn Ko Seene Se Lagatay Hain.
:ASAD: Sadiyon Se Ghaibat Mein Imam-e-Asar Hain Rotay.
Bahaein Hum Bhi Aanso Khon Ke Aankhon Se Kash Aisay.
Gham-e-Sheh Mein Woh Aanso Ke Khon Ke Jaisay Bahatay Hain.
Poet: :Asad Ali Asad:
Noha Khuwan: :Hasnain Abbas:
Noha Volume: :Hasnain Abbas 2022-23:
Composition: :Waheed Ul Hasan Kamaliya:
#ArzooeKarbala
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

error: Content is protected !!