Sar-e-Karbala Hai Lahu Ki Gawahi Zakir Bilawal Ali Hussaini Lyrics In Urdu and Roman Urdu
سَرِ کربلا ہے لہو کی گواہی
Yehi Deen-e-Haq Hain Yehi Dein Panahi.
Sar-e-Karbala Hai Lahu Ki Gawahi.
Yeh Khon-e-Abu Talib Ka Hai Mazhar.
Badaltay Hain Ghurbat Mein Deein Ka Muqadar.
Shujat Pe Unn Ki Larazti Hai Shahi.
Lahu Se Yeh Talwar Ko Mortay Hain.
Yeh Sheeshay Se Sang-e-Garaan Tortay Hain.
Yeh Be Taig Bhi Hain Khuda Ke Sipahi.
Woh Zainab Woh Sham-e-Ghareebaan Ka Manzar.
Woh Khaimay Jalay Woh Jala Koi Bistar.
Lutin Chadrein Al-Madad Ya Elahi.
Hain Be Goor Be Sar Jo Maqtal Mein Lashay.
Kafan Ko Tarastey Hain Yeh Marne Walay.
Bachi Hoti Sar Pe Kissi Ke Rida Hi.
Woh Naizay Pe Quraan Ki Hai Tilawat.
Pas-e-Marg Bhi Yeh Shaheedon Ki Qudrat.
Hai Sabit Issi Se Had-e-Be Gunahi.
Maratab Ho Jab Muntaqim Tera Lashkar.
Hai Khuwaish :BILAWAL: Banay Tera Yawar.
Imam-e-Zamana Ka Sacha Sipahi.
Koi Mujh Ko :AASI: Samjhta Hai Samjhay.
Mere Sare Rishtay Hain Ashk-e-Azza Se.
Na Samjhay Ga Mujh Ko Koi Khanqahi.
Poet: :Allama Shahenshah Hussain Naqvi Aasi:
Noha Khuwan: :Zakir Bilawal Ali Hussaini:
Noha Volume: :Zakir Bilawal Ali Hussaini 2022-23:
Composition: :Samar Abbas Inqilabi:
#SareKarbala
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com