Nana Mein Agai Hoon Ghar Bar Sab Luta Ke Zakir Bilawal Ali Hussaini Lyrics In Urdu

Nana Mein Agai Hoon Ghar Bar Sab Luta Ke Zakir Bilawal Ali Hussaini Lyrics In Urdu

ناناؐ مَیں آ گئی ہوں گھر بار سب لُٹا کے

Zahra Ke Gulistaan Se Karb-o-Bala Saja Ke.

Nana Tumhari Zainab Ab Woh Nahi Rahi Hai.
Pehchan Na Sako Gay Halat Badal Gayi Hai.
Mosam Guzarey Main Ne Har Gaam Bas Jafa Ke.
Hum Seh Rahe They Nana Jo, Jo Bhi Gham Hoye They.
Shayad Bata Na Paon Jitnay Sitam Hoye They.
Lekin Tumhari Ummat Khush Thi Humein Sata Ke.
Kariyal Jawaan Ke Dil Pe Zalim Ne Mara Neza.
Bhai Ne Kis Tarha Se Seene Se Woh Nikala.
Khaimay Mein Lasha Laye Sheh Kis Tarha Utha Ke.
Qasim Ke Haye Tan Ko Pamal Kar Diya Tha.
Gathri Mein Shah Laye Yeh Haal Kar Diya Tha.
Tukray Hoye Badan Ke Farwa Ke Dil Ruba Ke.
Nook-e-Sina Se Cheeni Zalim Ne Sar Se Chadar.
Khoon Ho Gaya Tha Jari Zakhmo Se Bhar Gaya Sar.
Sham-o-Damishq-o-Kofa Phirtay They Be Rida Ke.
Be Sheer Tashna Lab Tha Teer-e-Sitam Se Chota.
Oss Ko Bhi Haye Nana Teer-e-Sitam Ne Mara.
Asghar Ki Lash Sarwar Laye Magar Chupa Ke.
:ABBAS: Dekh Zainab Yasrab Mein Aa Gayi Hain.
Qabar-e-Rasool Par Yeh Noha Suna Rahi Hain.
Oss Ko Parho :BILAWAL: Tum Ashk-e-Gham Baha Ke
Poet: :Abbas Naqvi Bulandshahri:
Noha Khuwan: :Zakir Bilawal Ali Hussaini:
Noha Volum: :Zakir Bilawal Ali Hussaini 2023-24:
Composition: :Kamal Mehdi:
#NanaMeinAgaiHoon
#NohayLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!