Sultan e Karbala Ke Mehmaan Syed Raza Abbas Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Sultan e Karbala Ke Mehmaan Syed Raza Abbas Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

سُلطانِ کربلا کے مہمان

Likha Hai Ya Hussain Muharram Ke Chand Par.
Zahra Bhi Aa Gayin Hain Baqiya Ko Chor Kar.
Totay Hoye Dilon Ka Sahara Hai Jis Ka Dar.
Aa Jao Oss Hussain Ki Janib Karein Safar.
Jo Kibriya Ki Shan Muhammad Ki Jan Hai.
Haan Apne Zairon Ka Jo Khud Mezban Hai.
Dam Ba Dam Qadam Qadam Hai Dil Mein Ishq-e-Karbala Hussaina Hussaina.
Zairon Ke Qafilon Se Aa Rahi Hai Yeh Sada Hussaina Hussaina.
Chaley Chalo Barhey Chalo Hussain Ki Sada Suno.
Hussain Tum Ko Bola Rahe Hain Hai Samne Karbala.
Akbar Ke Sath Ghazi Khud Lainay Ja Rahe Hain.
Sultan-e-Karbala Ke Mehman Aa Rahe Hain.
Parcham Ke Saye Mein Hai Abbas Ki Sawari.
Mehmaan Nawaziyon Ki Teyariyaan Hain Jari.
Shabeer Ka Haram Hai Halchal Hai Khadmo Mein.
Gunbad Pe Shah-e-Dein Ke Parcham Laga Rahe Hain.
Jo Be Kafan Hai Oss Ka Darbar Saj Raha Hai.
Woh Ho Raha Hai Jo Bhi Abbas Ne Kaha Hai.
Hain Surkh Roshni Mein Kalay Libas Walay.
Ro Ro Ke Farsh-e-Matam Khadam Bicha Rahe Hain.
Ro Ro Ke Keh Rahe Hain Afsoos Hai Yeh Bibi.
Aye Kash Hum Jo Hotey Ashor Walay Din Bhi.
Nu Lakh Zalimo Mein Tanha Na Hotey Maula.
Labaik Keh Rahe Hain Our Rotay Ja Rahe Hain.
Norani Chehray Walay Galon Pe Khak Mal Kar.
Zawwar Aa Rahe Hain Paidal Najaf Se Chal Kar.
Iss Ishq Ke Safar Mein Har Shaks Maizbaan Hai.
Kuch Loag Rastay Se Pathar Hata Rahe Hain.
Unn Par Salam Ho Jo Besakhiyon Pe Aaye.
Paon Ke Bal Nahi They Phir Bhi Na Larkharaye.
Milti Nahi Sabhi Ko Yeh Ishq Ki Bulandi.
Bas Ya Hussain Keh Kar Woh Chalte Ja Rahe Hain.
Thamay Hoye Tabaruk Rahoon Mein Jo Kharey Hain.
Qasim Ka Naam Le Kar Taqseem Kar Rahe Hain.
Dono Jahan Mein Aisa Jazba Kahin Na Dekha.
Jo Saal Bhar Kamaya Woh Sab Luta Rahe Hain.
Yeh Woh Zameen Hai Jis Par Pyasi Rahein Sakina.
Ghazi Ko Yaad Kar Ke Roti Rahein Sakina.
Ab Iss Zameen Pe Koi Pyasa Nahi Hai Dekho.
Pyason Ko Mashk Walay Pani Pila Rahe Hain.
:ZEESHAN: Our :RAZA: Jab Maula Ke Pas Jana.
Hur Ki Qasam Hai Tum Ko Tabdeel Ho Ke Aana.
Aye Zaireen-e-Maula Hai Asal Yeh Ziyarat.
Unn Ki Hai Mezbani Jo Hur Bana Rahe Hain.
Tum Apne Dil Mein Ziyarat Ki Aarzu Rakhna.
Phir Unn Ka Kam Hai Jazbay Ki Aabro Rakhna.
Tehat-ul-Lafz Talat Hussain 
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Noha Volum: :Syed Raza Abbas Zaidi 2022-23:
Composition: :Syed Raza Abbas Zaidi:
#SultaneKarbalaKeMehmaan
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!