Marhaba Shere-e-Ali Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu and Roman Urdu
مرحبا شیرِ علیؑ
Marhaba Shair-e-Ali, Marhaba Shair-e-Ali.
Apne Baba Ki Tarha Tu Hai Shujat Ka Dhani.
Ran Mein Jis Dam Abu Talib Ka Sipahi Aaya.
Shoor Utha Asad-e-Shair-e-Elahi Aaya.
Ahl-e-Batil Ke Liye Ban Ke Tabahi Aaya.
Sun Ke Yeh Foaj-e-Sitamgar Mein Hai Halchal Si Machi.
Dada Woh Dein Bhi Jahan Aaye Dohai Le Kar.
Baap Woh Soye Tu Phir Uthay Khudai Le Kar.
Our Yeh Paltay Ga Chulo Mein Tarai Le Kar.
Aaj Aaye Gi Har Ik Simt Se Aawaz Yehi.
Khushk Sehraon Ke Daman Mein Lahu Aat Jate.
Lash Ke Dhair Se Maidan-e-Waga Phat Jate.
Aate Jibreel Tu Jibreel Ke Par Kat Jate.
Khair Guzri Jo Na Ran Mein Teri Talwar Chali.
Subha Sadiq Jo Hoi Sham Ke Lashkar Bhagay.
Shair Ke Waar Se Ghabra Ke Sitamgar Bhagay.
Jin Ke Sar Kat Gaye Woh Tan Ko Bacha Kar Bhagay.
Maut Bhi Dekh Ke Yeh Rang-e-Waga Bool Uthi.
Sabar Ko Zabt Ke Ahsas Ne Soney Na Diya.
Nehar Be Chain Rahi Pyas Ne Soney Na Diya.
Hakim-e-Sham Ko Abbas Ne Soney Na Diya.
Pehrey Daroon Ki Lab-e-Nehar Kamar Toot Gayi.
Parcham-e-Bani-e-Islam Ko Jhukney Na Diya.
Kat Gaye Hath Magar Choota Na Daman-e-Wafa.
Khud Tu Pyasa Hi Raha Nehar Ko Serab Kiya.
Yeh Tera Azam Yeh Himmat Yeh Teri Darya Dili.
Seriyaan Jis Ne Bhi Rozay Ki Utar Kar Dekha.
Oss Ne :NAYAB: Fazeelat Ka Samandar Dekha.
Dekhney Walon Ki Nazron Ne Yeh Manzar Dekha.
Aaj Bhi Lipati Hoi Hai Tere Qadmo Se Nadi.
Poet: :Nayab Hallauri:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2004-05:
#MarhabaShereeAli
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com