Mujhe Abbas Kehte Hain Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1997
Mujhe Abbas Kehte Hain Nadeem Sarwar.
Main Qamar-e-Bani Hashim Hoon Sardar Hoon Main Lashkar Ka.
Shabeer Mera Aaqa Hai Main Beta Hoon Haider Ka.
Nas Nas Mein Wafadari Hai Mansab Mein Alamdari Hai.
Zahra Ne Kaha Hai Beta Hai Sare Arab Mein Charcha.
Shabbir Ke Dil Ki Taqat Hoon Chand Bani Hashim Ka.
Main Karb-o-Bala Ka Haider Jibreel Bacha Le Shehpar.
Woh Jah-o-Hasham Rakhta Hoon Shano Pe Alam Rakhta Hoon.
Lo Rook Sako Tu Roko Darya Mein Qadam Rakhta.
Main Hashar Bapa Kar Doon Ga Sar Tan Se Juda Kar Doon Ga.
Mujh Ko Bhi Imamat Milti Tauqeer Meri Barh Jati.
Pe Leta Jo Sheer-e-Zahra Konain Mein Thi Sardari.
Hoon Apne Padar Ka Sani Pathar Se Nichoron Pani.
Talwar Hain Mere Bazu Hai Mujh Mein Wafa Ki Khushbo.
Main Dekh Nahi Sakta Hoon Zainab Ki Nazar Mein Aanso.
Gar Ghaiz Mein Aa Kar Dekhon Pani Mein Aag Laga Doon.
Parcham Yeh Mere Baba Ka Ta Hashar Rahe Ga Oncha.
Khaybar Mein Mila Baba Ko Our Aaj Hai Main Ne Paya.
Parcham Na Yeh Jhuk Paye Ga Har Door Mein Lehraye Ga.
Bachoon Ko Tasalli De Kar Main Aaya Hoon Darya Par.
Bachoon Ki Aas Na Totay Bas Aik Dua Hai Lab Par.
Pani Jo Na Pohanchaon Ga Khaimon Mein Nahi Jaon Ga.
Be Izn-e-Wiga Aaya Hoon Talwar Nahi Laya Hoon.
Thokar Mein Hai Mere Pani Seh Roz Ka Main Pyasa Hoon.
Behta Hai Lahu Beh Jaye Bas Nam-e-Wafa Reh Jaye.
Jo Teer Bhi Hain Tarkash Mein Paiwast Karo Nas Nas Mein.
Par Mashk Pe Waar Na Karna Phir Baat Na Ho Gi Bas Mein.
Bazu Bhi Kata Sakta Hoon Main Khoon Mein Naha Sakta Hoon.
Abbas-e-Jarri Ka Roza Hai Ahl-e-Wafa Ka Kaba.
Ik Roz :REHAN-o-SARWAR: Hum Ne Bhi Yeh Manzar Dekha.
Kehta Hai Koi Darya Par Sab Jaein Pyas Bhuja Kar.
Khaimon Mein Na Le Jana Aaqa Mere Lashay Ko.
Sharminda Na Karwana Seh Roz Ke Pyasay Ko.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1996-97:
#MujheAbbasKehteHain
#NohayLyrics
#tajpoint