Naara-e-Ali Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu 2005

Naara-e-Ali Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu 2005

Naara-e-Ali Mir Hasan Mir Lyrics

Jo Haider-e-Karrar Hai Woh Kul Ka Madadgar Hai.
Oss Se Humein Bhi Pyar Hai Ho Narah-e-Ali.

Marhab Ko Do Tukray Kiya Khaybar Ko Hathoon Par Rakha.
Jibreel Detey They Sada Mushkil Kusha, Mushkil Kusha.
Maula Tumhare Waar Se Katney Lagay Hain Par Mere.
Mushkil Kushai Kijiye Ho Narah-e-Ali.

Khaybar Ho Ya Jang-e-Jamal Sab Mushkilon Ka Aik Hal.
Haider Ka Jo Bhi Kam Hai Hayya Alla Khair Al-Amal.
Molood-e-Kaba Hai Ali Maula Ka Maula Hai Ali.
Farma Gaye Mere Nabi Ho Narah-e-Ali.

Tum Rizq Par Mamoor Ho Dast-e-Khuda Mashoor Ho.
Jo Bhi Tumhara Naam Le Oss Se Musibat Door Ho.
Pathar Pe Gara Hai Alam Mohar-e-Nabowat Par Qadam.
Kyun Na Kahon Main Dam Ba Dam Ho Narah-e-Ali.

Jo Markaz-e-Afkar Hai Oss Mein Ali Paida Hoye.
Jo Markaz-e-Anwar Hai Oss Mein Ali Paida Hoye.
Jo Shah-e-Khaybar Geer Hai Jis Ka Pisar Shabeer Hai.
Shiyon Tumhara Peer Hai Ho Narah-e-Ali.

Shah-e-Arab Shah-e-Ajam Aye Malik-e-Bag-e-Iram.
Tere Pisar Abbas Ki Khaye Koi Jhoti Qasam.
Kis Mein Hai Itna Hosla Koi Nahi Koi Na Tha.
Ghazi Ka Bhi Narah Yeh Tha Ho Narah-e-Ali.

Zojah Teri Khair-Al-Nisa Yani Janab-e-Syeda.
Jis Ke Liye Tatheer Ki Aayat Mein Kehta Hai Khuda.
Yeh Mustafa Ka Noor Hai Har Rijs Iss Se Door Hai.
Iss Ki Khushi Manzoor Hai Ho Narah-e-Ali.

Qowat Hai Iss Narey Mein Woh Batil Ke Jo Katay Jigar.
Chodah Sadi Ke Baad Bhi Jari Hai Narey Ka Safar.
Har Jang Ke Maidan Mein Biphray Hoye Tofan Mein.
Shamil Hai Yeh Eman Mein Ho Narah-e-Ali.

Nad-e-Ali Ka Mojza Batla Gaye Hain Mustafa.
Haider Ka Jab Tha Marka Lab Par Nabi Ke Thi Sada.
Ab Jald Aa Mere Akhi Hai Sakht Mushkil Ki Ghari.
Kehne Lagay Jibreel Bhi Ho Narah-e-Ali.

Hai Ism-e-Azam Ki Sift Iss Narah-e-Bedar Mein.
Tezi Hai Iss Mein Iss Qadar Hoti Hai Jo Talwar Mein.
Dar Hai Dil-e-Kuffar Mein Karta Hai Dar Diwar Mein.
Har Kocha-o-Bazar Mein Ho Narah-e-Ali.

Khak-e-Dar-e-Shabeer Hoon Bazm-e-Sukhan Ka :MIR: Hoon.
Madah-e-Ahl-e-Bait Hoon Kya Sahib-e-Tauqeer Hoon.
Rad-e-Bala Ke Wastay :REHAN: Yeh Likh Dijiye.
Mehshar Mein Bakhshish Ke Liye Ho Narah-e-Ali.

Poet: :Rehan Azmi:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2004-05:

#NaaraeAli
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Naara-e-Ali Mir Hasan Mir Lyrics

Naara-e-Ali Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu 2005 Write Up Poster Image

Naara-e-Ali Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu 2005

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!