Aye Alamdar E Haram Ali Jee Lyrics In Urdu 2018

Aye Alamdar E Haram Ali Jee Lyrics In Urdu 2018

Aye Alamdar E Haram Ali Jee Lyrics

Saqi-e-Tashna Labaan Aye Alamdar-e-Haram.
Haidery Shair-e-Jawaan Aye Alamdar-e-Haram.
Marhaba Shair-e-Jawaan, Aye Jawaan, Aye Jawaan, Aye Jawaan, Aye Alamdar-e-Haram.

Aye Shehanshah-e-Wafa Sani-e-Haider Maula.
Aye Sakina Ke Chacha Fatima Zahra Ki Dua.
Foaj-e-Shabeer Ke Salar Alamdar-e-Wafa.
Bani Hashim Ke Qamar Naz-e-Sheh-e-Karb-o-Bala.
Maula Qurbaan Dil-o-Jaan Aye Alamdar-e-Haram.

Haye Woh Sham-e-Ghareebaan Woh Qayamat Ka Samaa.
Haye Sadaat Ke Jaltay Hoye Khaimon Ka Dhowaan.
Bibiyaan Karti Thin Ro Ro Ke Yehi Aah-o-Fogaan.
Aao Abbas Ridaon Ke Mohafiz Ho Kahan.
Ho Kahan Shair-e-Jawaan Aye Alamdar-e-Haram.

Apna Bibi Ko Alamdar Chacha Yaad Aaya.
Aaya Jab Sham Ka Bazar Chacha Yaad Aaya.
Na Mila Saya-e-Dewar Chacha Yaad Aaya.
Jab Tamachay Lagay Har Bar Chacha Yaad Aaya.
Thi Sakina Ki Fogaan Aye Alamdar-e-Haram.

Hum Azadaron Ki Taqdeer Jaga Do Maula.
Karbala Ka Humein Zawwar Bana Do Maula.
Apni Jageer Ka Dedar Kara Do Maula.
Roza-e-Hazrat-e-Shabeer Dikha Do Maula.
Hai Yehi Wird-e-Zabaan Aye Alamdar-e-Haram.

Poet: :Jawad Jafri, Nadeem Sarwar:
Noha Khuwan: :Ali Jee:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2017-18:
Composition: :Nadeem Sarwar:

#AyeAlamdarEHaram
#NohayLyrics
#tajpoint

Aye Alamdar E Haram Ali Jee Lyrics In Urdu 2018 Write Up Poster Image

Aye Alamdar E Haram Ali Jee Lyrics In Urdu 2018

Video Link