Bismillah Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2015

Bismillah Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2015

Bismillah Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu

Bismillah Noor-e-Khuda.
Bismillah Shams-Uz-Zuha.
Bismillah Ain Al-Yaqeen.
Yabna Ameer Al-Momineen.

Aye Yar-e-Man, Aye Dilbar-o-Dildar-e-Man.
Aye Syed-o-Sardar-e-Man Aye Rehbar-o-Salar-e-Man.

Aye Naz-e-Man Dastar-e-Man.
Aye Muharram-o-Ghamkhuwar-e-Man.
Aye Malik-o-Mukhtar-e-Man.
Aye Hazrat-e-Sultan-e-Man.

Sarallah Abba Abdillah.

Aye Murshad-e-Man Aye Wali.
Maula Hussain Ibn-e-Ali.
Aye Ashiqon Ki Aa Gahi.
Rasam-e-Wafa Tujh Se Chali.
Pohancha Jo Main Teri Ghali.
Qadmo Se Peshani Mali.
Apni Khabar Bhi Na Rahi.
Aye Mehwar-e-Eman-e-Man.

Main Noha Khuwaan Tere Liye.
Meri Zabaan Tere Liye.
Mera Biyaan Tere Liye.
Yeh Jism-o-Jaan Tere Liye.
Gham Ki Azaan Tere Liye.
Ashk-e-Rawaan Tere Liye.
Matam Kuna Tere Liye.
Aye Giriya-e-Mazgan-e-Man.

Woh Ho Najaf Ya Karbala.
Dono Se Hai Roh-e-Baqa.
Woh Sajdah Gah-e-Qudsiyaan.
Yeh Karbala Khak-e-Shifa.
Woh Ibtida Yeh Inteha.
Dono Shahadat Ka Sila.
Hai Silsila Dar Silsila.
Har Ja Ali Ka Khoon Baha.

Baha Ali Ka Khoon Baha.

Na Aisa Koi Sorma.
Na Aisa Koi Rehbar.
Lahu Mein Apne Tar Ba Tar.
Bala Ki Pyas Hai Magar.
Hazar Qatilon Mein Bhi.
Chala Hai Jo Utha Ke Sar.
Yeh Kaun Hai Aseer-e-Gham.
Yeh Poch Aye Hawa-e-Gham.

Yeh Kaun Hai, Yeh Kaun Hai.

Haan Ahmad Ka Nawasa Hai.
Haan Haider Ka Sarapa Hai.
Haan Zahra Ka Dulara Hai.
Haan Shabar Ka Yeh Bhaiyya Hai.
Haan Zainab Ka Sahara Hai.
Abbas Ka Aaqa Hai.
Akbar Ka Yeh Baba Hai.
Haan Yeh Hussain Hai.

Haan Yeh Hussain Hai.

Yeh Ishq-e-Rabani.
Yeh Gohar-e-Jani.
Yeh Feham-e-Qurani.
Yeh Aqal-e-Furqani.
Yeh Zikar-e-Tofani.
Yeh Noor-e-Tabani.
Yabna Ameer Al-Momineen.
Sarallah Abba Abdillah.

Qasam Ali Ke Khon Ki.
Hussain Phir Hussain Hai.
:REHAN-o-SARWAR-E-: Azza.
Bara-e-Deen-e-Mustafa.
Yeh Apna Ghar Luta Chuka.
Hazar Zakhm Kha Chuka.
Jhuka Nahi Daba Nahi.
Jama Raha Datta Raha.

Jhuka Nahi Hila Nahi.
Hata Nahi Thama Nahi.
Thaka Nahi Ruka Nahi.
Hussain Phir Hussain Hai.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2015-16:

#Bismillah
#NohayLyrics
#tajpoint

Old Noha Bismillah Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu

Bismillah Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2015 Write Up Poster Image

Bismillah Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2015

Video Link