Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Ali Shanawar and Ali Jee Lyrics Urdu 2008
Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Ali Shanawar and Ali Jee.
Mera Nana Nabi Meri Maa Syeda.
Mera Baba Ali Mera Bhai Hasan.
Hum Hi Hain Panjtan Meri Kya Hai Khata.
Mujh Pe Kyun Band Kartay Ho Pani.
Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hoon.
Kya Main Zahra Ka Jaya Nahi Hoon.
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hoon.
Mere Nana Ne Kalma Sikhaya.
Our Quran Tum Ko Sunaya.
Kya Main Nana Ka Saya Nahi Hoon.
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hoon.
Woh Madina Jahan Mera Ghar Hai.
Our Masjid Mein Oss Ghar Ka Dar Hai.
Kya Main Oss Ghar Mein Khaila Nahi Hoon.
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hoon.
Chakiyaan Peeas Kar Maa Ne Pala.
Mujh Ko Nana Ne Jhola Jholaya.
Apna Bachpan Main Bhola Nahi Hoon.
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hoon.
Kamli Walay Ke Lab Chomta Tha.
Kitna Pyara Mera Bachpana Tha.
Kya Main Unn Ka Dulara Nahi Hoon.
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hoon.
Main Jo Pani Kabhi Mangta Tha.
Kyun Tarapti Thi Maa Ab Main Samjha.
Pas Asghar Ke Jata Nahi Hoon.
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hoon.
Main Jo Chahon Baras Jaein Badal.
Khoon Mein Doba Nazar Aaye Maqtal.
Jang Karne Main Aaya Nahi Hoon.
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hoon.
Ik Sada Thi Yeh :REHAN-o-SARWAR:.
Keh Rahe They Hussain Ibn-e-Haider.
Kya Main Mehman Aaya Nahi Hoon.
Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hoon.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Ali Shanawar and Ali Jee:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2007-08:
#KiyaMuhammadKaPyaraNahiHun
#NohayLyrics
#tajpoint