Sarbaan Sarbaan Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2008

Sarbaan Sarbaan Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2008

Sarbaan Sarbaan Nadeem Sarwar Lyrics

Wapis Madine Aa Gaya Lo Karwaan Ujra Howa.
Ujari Thin Sari Bibiyaan Sajjad Ka Noha Yeh Tha.

Roein Gay Tauq-o-Beriyaan Woh Sham Our Main Al-Amaan.
Aisa Bana Main Sarebaan Maula Ghamzada Na Tawaan Sarebaan.

Logo Madina Lut Gaya Koi Nahi Mere Siwa.
Dagoon Se Hai Seena Bhara Tanha Karon Kya Kya Biyaan.

Tha Jab Talak Woh Meharbaan Abbas Meer-e-Karwaan.
Mara Gaya Kya Na Gehan Aakhir Liye Unn Ka Nishaan.

Kitna Kathin Tha Woh Safar Naizon Pe They Pyaron Ke Sar.
Uthti Na Thi Meri Nazar Be Pardah Behnein Our Maa.

Gham Tha Qayamat Se Bara Charon Taraf They Ashqiya.
Namoos Meri Be Rida Rota Tha Sun Sun Kar Azaan.

Kya Ronaq-e-Bazar Thi Pathar Ki Bhi Bochar Thi.
Our Woh Hansi Kuffar Ki Khamosh Thi Meri Zabaan.

Oss Sham Ke Bazar Ne Woh Gham Diye Darbar Ne.
Jab Main Laga Lalkarne Deney Lagay Zalim Azaan.

:REHAN-o-SARWAR: Umar Bhar Aankhein Rahein Gi Noha Gar.
Jis Waqt Farsh-e-Dard Par Nohay Mein Yeh Ho Ga Biyaan.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2007-08:

#SarbaanSarbaan
#NohayLyrics
#tajpoint

Sarbaan Sarbaan Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2008 Write Up Poster Image

Sarbaan Sarbaan Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2008

Video Link

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!