Kya Andhera Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2016
Kya Andhera Nadeem Sarwar Lyrics
Kya Andhera Hai Phophi.
Qaid Khane Mein Sakina Ka Tha Noha Aye Phophi.
Ik Shama Mangwaiye Ke Ho Ujala Aye Phophi.
Gaud Mein Apni Chupa Lo Dil Dharkta Hai Mera.
Har Ghari Lagta Hai Jaisay Shimar Phir Se Aa Gaya.
Pas Se Mere Nahi Jana Khudara Aye Phophi.
Khof Aata Hai Phophi Din Ke Ujalay Mein Yahan.
Wehshatein Hi Wehshatein Hain Qaid Khane Mein Yahan.
Aik Pal Lagta Nahi Hai Dil Hamara Aye Phophi.
Ab Kahan Baba Ka Seena Chain Ki Ratein Kahan.
Ab Kahan Woh Din Rahe Woh Pyar Ki Batein Kahan.
Aaein Gay Kab Laut Ke Woh Din Dobarah Aye Phophi.
Haan Abhi Kuch Dair Pehle Mujh Ko Neend Aayi Tu Thi.
Chand Lamhon Baad Phir Se Aankh Meri Khul Gayi.
Youn Laga Jaisay Ho Baba Ne Pukara Aye Phophi.
Aaein Baba Tu Sunaon Main Sitam Ki Dastaan.
Main Dikhaon Gi Rasan Ke Our Tamachon Ke Nishaan.
Sun Nahi Paein Gay Baba Haal Sara Aye Phophi
Poet: :Nadeem Sarwar:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2016-17:
Composition: :Nadeem Sarwar:
#KyaAndhera
#NohayLyrics
#tajpoint