Akeli Zahra Shahid Baltistani Lyrics In Urdu 2023

Akeli Zahra Shahid Baltistani Lyrics In Urdu 2023

Akeli Zahra Shahid Baltistani Lyrics

Kalma Goyon Mein Hoi Haye Akeli Zahra.
Sar-e-Darbar Gayi Baba Jhutlai Gayi Aap Ki Beti Zahra.

Kar Ke Tehreer Ke Tukray Mujhe Lautaya Gaya.
Mere Masoom Gawahon Ko Bhi Jhutlaya Gaya.
Qehqahey Sunti Rahi Our Sand Chunti Rahi Aap Ki Sachi Zahra.

Jis Ghali Mein Mujhe Zalim Ne Tamacha Mara.
Jeetay Jee Mera Hasan Phir Na Wahan Se Guzra.
Woh Na Bholay Ga Kabhi Oss Se Dekhi Na Gayi Khak Pe Girti Zahra.

Zakhm Pehlu Ka Tu Bachoon Se Chupaya Baba.
Par Yeh Sadma Mujhe Turbat Mein Bhi Tarpaye Ga.
Jab Tamachay Khaye Dekha Bachoon Ne Mere Rook Na Payi Zahra.

Aap Ki Zahra Thi Jaltay Hoye Dar Ke Neechay.
Our Hanstay Hoye Oss Par Se Musalmaan Guzrey.
Thokarein Khati Rahi Ya Ali Kehti Rahi Baba Tumhari Zahra.

Pasliyaan Toot Ke Uljhi Hain Kuch Aisay Baba.
Sans Leti Hoon Tu Dukhta Hai Kaleja Mera.
Hai Shikasta Bazu Kar Nahi Sakti Raku Zakhmi Hai Itni Zahra.

Mujh Se Kehne Lagi Zainab Aye Zaeefa BiBi.
Yeh Hai Konain Ki Malka Ka Musalla BiBi.
Aisi Halat Thi Meri Woh Na Pehchan Saki Samne Bethi Zahra.

Meekh Jaltay Hoye Darwazay Ki Jab Surkh Hoi.
Mere Pehlu Se Woh Mohsin Ke Badan Mein Utari.
Haye Dam Toor Gaya Woh Mujhe Chor Gaya Zindah Hai Phir Bhi Zahra.

Qabar-e-Zahra Ki Khamoshi Yeh Boka Karti Hai.
Mera Mohsin Hai Jo Parday Mein Mera Mehdi Hai.
Ab Fidak Ki Khatir Apne Haq Ki Khatir Kuch Na Kahey Gi Zahra.

Poet: :Muhsin Jaffri:
Noha Khuwan: :Shahid Baltistani:
Noha Volum: :Shahid Baltistani 2022-23:
Composition: :Shahid Baltistani:

#AkeliZahra
#NohayLyrics
#tajpoint

Akeli Zahra Shahid Baltistani Lyrics In Urdu 2023 Write Up Poster Image

Akeli Zahra Shahid Baltistani Lyrics In Urdu 2023

Video Link

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!