Dar e Zahra Jala Diya Baba Syed Mudassir Mehdi Lyrics In Urdu 2023
Dar e Zahra Jala Diya Baba Syed Mudassir Mehdi.
Kalma Parh Parh Ke Musalmano Ne Dar-e-Zahra Jala Diya Baba.
Thokarein Mar Kar Shaqi Ne Dar Haye Mujh Par Gira Diya Baba.
Hai Jigar Gosha-e-Rasool Batool Aap Ne Yeh Kaha Tha Ummat Se.
Aap Ke Baad Aap Ka Farmaan Haye Sab Ne Bhula Diya Baba.
Kar Ke Pamal Mere Mohsin Ko Taziyana Mujhe Lagaya Hai.
Abhi Sanbhli Na Thi Tamachay Ne Haye Phir Se Gira Diya Baba.
Neel Rukhsar Par Tamachay Ka Gird Aankhon Ke Mere Halqay Hain.
Pasliyaan Totney Ki Shiddat Ne Mera Shana Jhuka Diya Baba.
Mere Bachay Ne Apni Aankhon Se Mujh Ko Lagtay Tamacha Dekh Liya.
Haye Mere Hasan Ko Qismat Ne Kaisa Manzar Dikha Diya Baba.
Apna Haq Mangney Gayi Dar Dar Sari Galiyaan Gawahi Deti Hain.
Aik Do Roz Mein Hi Ummat Ne Sara Yasrab Dikha Diya Baba.
Hum Ko Darbar Mein Khara Rakha Apni Masnad Saja Ke Betha Raha.
Nikli Darbar Se Jo Zalim Ne Fatima Ko Gira Diya Baba.
Apne Bachoon Ko Dono Hathoon Se Ab Galay Main Nahi Laga Sakti.
Meri Iss Be Basi Ne Haider Ko Khoon Ke Aanso Rula Diya Baba.
Hai Yeh Dukhiya Rasool Ki Dukhtar Ab Issay Our Na Sataye Koi.
Soch Kar Yeh Nishan-e-Qabar Mera Khud Ali Ne Chupa Diya Baba.
:HADI: Shikwa Yehi Tha Zahra Ka Cheen Letey Mera Fidak Lekin.
Kaisay Ummat Ne Murtaza Ki Jagah Aik Gasib Bitha Diya Baba.
Poet: :Ghazanfar Hadi:
Noha Khuwan: :Syed Mudassir Mehdi:
Noha Volum: :Syed Mudassir Mehdi 2022-23:
Composition: :Sayyed Zaire Naqvi:
#DareZahraJalaDiyaBaba
#NohayLyrics
#tajpoint