Jaisey Jaisey Raat Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2005

Jaisey Jaisey Raat Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2005

Jaisey Jaisey Raat Nadeem Sarwar Lyrics

Aik Alam Ke Saye Mein Khaimay Mehway Dua Khaimon Mein Pyasay.
Pyason Ki Aawaz Fiza Mein Shukar-e-Khuda Dohra Rahi Hai.

Door Watan Se Kuch Pardesi Seh Ke Aziyat Tashna Labi Ki.
Dekh Rahe Hain Janib-e-Darya Mauj Qayamat Dha Rahi Hai.

Aamne Samne Do Lashkar Hain Sabar Idhar Oss Ja Khanjar Hain.
Foaj Idhar Masroof-e-Ibadat Ik Taigein Chamka Rahi Hai.

Aik Behan Ko Fikar Yehi Hai Raat Yeh Kyun Dhalti Jati Hai.
Iss Ki Sahar Ke Pichey Pichey Subh-e-Shahadat Aa Rahi Hai.

Kehti Hain Bachoon Se Maein Aao Tumhein Hum Aaj Sajaein.
Waqt Yehi Qurbani Ka Hai Dein Pe Musibat Aa Rahi Hai.

Woh Jo Shabeeh-e-Peygamber Hai Zad Pe Sina Ki Oss Ka Jigar Hai.
Maut Ossi Ki Khatir Naiza Maqtal Mein Lehra Rahi Hai.

Jhola Jholne Wala Bacha Lori Sun Kar Bhi Na Soya.
Bachay Ko Aadab-e-Shahadat Lori Khud Samjha Rahi Hai.

Sath Issay Iss Ban Mein Ik Maa Baal Khulay Ba Haal-e-Pareshaan.
Jharti Hai Maqtal Ki Zameen Ko Roti Hai Thara Rahi Hai.

Rakh Do Qalam :REHAN-o-SARWAR: Dard Bhara Hai Subha Ka Manzar.
Lehja-e-Akbar Se Jo Ubhari Soot-e-Azaan Woh Aa Rahi Hai.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2004-05:

#JaiseyJaiseyRaat
#NohayLyrics
#tajpoint

Jaisey Jaisey Raat Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2005 Write Up Poster Image

Jaisey Jaisey Raat Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2005

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!