Khatoon-e-Janat Meesum Kashmiri Lyrics In Urdu 2022
Khatoon-e-Janat Meesum Kashmiri.
Madine Mein Bicha Hai Farsh-e-Gham Khatoon-e-Jannat Ka.
Karo Matam Keh Din Hai Aaj Zahra Ki Shahadat Ka.
Giraya Dar Kiya Mohsin Ko Qatal Our Pasliyaan Torein.
Yeh Aalam Tha Musalmano Ki Zahra Se Adawat Ka.
Rasool-e-Haq Amama Phaink Kar Kartay Hain Daman Chak.
Janaza Uth Raha Hai Rehmat-e-Alim Ki Rehmat Ka.
Kafan Mein Bhi Tah-e-Turbat Na Utha Hath Pehlu Se.
Khuda Jane Keh Kya Aalam Tha Zahra Ki Aziyat Ka.
Nabi Zadi Pe Jari Hai Sitam Ka Silsila Ab Tak.
Hadaf Hai Qabar-e-Zahra Kalma Goyon Ki Adawat Ka.
Siya Karti Thin Woh Ik Hath Se Abbas Ke Kurtay.
Hum Andaza Laga Saktay Nahi Unn Ki Muhabbat Ka.
Wohi Shamil They Aye Bint-e-Nabi! Tere Janazay Mein.
Jinhein Haider Ne Bakhsha Tha Sharf Teri Ijazat Ka.
Dua Kartay Hain :MEESUM: Our :IRAM: Yeh Farsh-e-Matam Par.
Atta Ho Izn Hum Ko Qabar-e-Zahra Ki Ziyarat Ka.
Poet: :Shumaila Iram:
Noha Khowan: :Meesum Kashmiri:
Noha Volume: :Meesum Kashmiri 2022-23:
#KhatooneJanat
#NohayLyrics
#tajpoint