Sakina Kahani Suno Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2003
Sakina Kahani Suno Nadeem Sarwar Lyrics
Siyah Raat Mein Zindaan Ke Dar Pe Ro Ro Ke.
Sakina Kehti Hai Aye Baba Yeh Shab Satati Hai.
Judai Aap Ki Oss Par Yeh Khak Ka Bistar.
Kahin Andherey Mein Bachoon Ko Neend Aati Hai.
Yeh Sun Ke Zainab-e-Mazloom Boli Gham Na Karo.
Kahani Kehti Hoon Main Ik Suno Sakina Suno.
Ik Shehanshah Tha Yasrab Mein Raha Karta Tha.
Oss Ka Ghar Woh Tha Keh Quran Jahan Utra Tha.
Dar Pe Jibreel Sa Darban Raha Karta Tha.
Oss Ka Aangan Bhi Sitaron Se Bhara Rehta Tha.
Oss Ke Darwazay Se Khali Na Koi Jata Tha.
Aasmaan Oss Ki Sakhawat Ki Qasam Khata Tha.
Oss Ke Baba Ko Dar-e-Ilm Kaha Jata Tha.
Maa Ne Shehzadi-e-Konain Laqab Paya Tha.
Oss Ke Beton Mein Nazar Aks-e-Nabi Aata Tha.
Betiyon Ko Gul-e-Pakeeza Kaha Jata Tha.
Oss Ke Ik Bhai Ki Rag Rag Mein Wafa Rehti Thi.
Ik Behan Sath Mein Saye Ki Tarha Rehti Thi.
Aik Din Kya Howa Woh Ghar Se Safar Par Nikla.
Oss Ka Sab Kunba Bhi Quran Ki Hifazat Ko Chala.
Ashqiya Ne Ossay Phir Dasht-e-Bala Mein Ghaira.
Teen Din Tak Ossay Pani Bhi Muyassar Na Howa.
Ho Gayi Aam Har Ik Joor-o-Jafa Oss Ke Liye.
Our Phir Jang Ka Maidan Saja Oss Ke Liye.
Oss Ke Ik Betay Ke Seene Mein Sina Toot Gayi.
Bhai Ke Hath Katay Teer Laga Mashk Chidi.
Lash Pamal Bhatijay Ki Bhi Maqtal Mein Hoi.
Be Zabaan Qatal Howa Oss Ka Churi Oss Pe Chali.
Oss Shehanshah Ke Kunbay Pe Ghareebi Chayi.
Bujh Gaye Sare Diye Sham-e-Ghareebaan Aayi.
Khaimay Jalnay Lagay Nazdeek Sitamgar Aaye.
Oss Shehanshah Ki Bachi Ne Tamachay Khaye.
Kan Zakhmi Hoye Khoon Aankhon Se Tapka Haye.
Dhondne Baap Ko Maqtal Mein Woh Kaisay Jaye.
Jaltay Daman Ko Liye Ganjay Shaheedan Mein Gayi.
Rasi Gardan Mein Bandhi Sham Ke Zindaan Mein Gayi.
Phir Sakina Ne Kaha Rehtey Hain Woh Loag Kahan.
Boli Zainab Keh Hoye Sab Woh Aseer-e-Zindaan.
Qissa Aakhir Howa Neend Aayi Na Tum Ko Meri Jaan.
Boli Ro Ro Ke Sakina Phophi Ab Neend Kahan.
Tum Tu Kehti Thi Kahani Suno Neend Aati Hai.
Iss Kahani Se Meri Neend Orri Jati Hai.
Boli Ro Ro Ke Sakina Yeh Mera Qissa Hai.
Iss Kahani Ka Shehanshah Mera Baba Hai.
Naiza Jis Ke Laga Seene Mein Mera Bhaiyya Hai.
Mera Asghar Hai Laeeno Ne Jisay Mara Hai.
Be Rida Tum Ho Phophi Jan Meri Jati Hai.
Yeh Kahani Tu Mere Ghar Ki Nazar Aati Hai.
Jis Ko Seene Pe Shehanshah Ke Neend Aati Thi.
Dasht Mein Haye Chacha Keh Ke Jo Chilati Thi.
Jis Ke Kano Se Lahu Behta Tha Jo Pyasi Thi.
Apne Baba Ki Judai Mein Meri Jati Thi.
Oss Shehanshah Ki Beti Woh Sakina Main Hoon.
Jis Ka Dushwar Howa Qaid Mein Jeena Main Hoon.
Khatam Jab :SARWAR-o-REHAN: Kahani Yeh Hoi.
Woh Jo Sunti Thi Kahani Woh Sakina Na Rahi.
Thamay Zanjeer Naqahat Se Utha Ik Qaidi.
Aik Nanhi Si Lehad Kanptay Hathoon Se Bani.
Sar Shehanshah Ka Godi Mein Lahu Rota Tha.
Wa Hussaina Ka Bas Ik Shoor Bapa Hota Tha.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2002-03:
#SakinaKahaniSuno
#NohayLyrics
#tajpoint
Sakina Kahani Suno Nadeem Sarwar Lyrics
Sakina Kahani Suno Nadeem Sarwar Lyrics Urdu