Yeh Chand Tarey Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2001
Yeh Chand Tarey Nadeem Sarwar Lyrics
Yeh Chand Taray Yeh Phool Kaliyaan Hussain Ka Gham Mana Rahe Hain.
Jahan Mein Sare Hussain Walay Hussain Ka Gham Mana Rahe Hain.
Khalil-e-Kaba Kahan Ho Aao Khalil-e-Karbala Ko Dekho.
Hussain Jalti Hoi Zameen Se Pisar Ki Maiyyat Utha Rahe Hain.
Hussain Ke Yeh Jigar Ki Taqat Hai Jis Se Ayub Ko Bhi Hairat.
Galay Pe Khanjar Rawaan Hai Lekin Hussain Kalma Suna Rahe Hain.
Kahin Pe Akbar Sa Gulbadan Hai Kahin Pe Qasim Gul-e-Hasan Hai.
Jigar Ke Tukron Se Shah-e-Wala Zameen-e-Maqtal Saja Rahe Hain.
Na Jane Zainab Ne Kaisay Dekha Ajeeb Manzar Woh Karbala Ka.
Hussain Gir Gir Ke Uth Rahe Hain Tarap Ke Akbar Bola Rahe Hain.
Charag-e-Khaima Bhuja Ke Sarwar Bana Gaye Hain Yeh Kaisa Lashkar.
Inhi Charagon Ki Roshni Se Charag Sab Jagmaga Rahe Hain.
Yeh Urtay Badil Yeh Behtay Darya Suno Zara Kya Bata Rahe Hain.
Jahan Khuda Hai Wahan Hussaini Hussain Ka Gham Mana Rahe Hain.
Padar Ke Seene Pe Soney Wali Summo Se Rahwar Ke Hai Lipati.
Sakina Shayad Samajh Gayi Hai Keh Baba Marne Ko Ja Rahe Hain.
Jahan Jahan Bhi Hussainiyat Hai :REHAN-o-SARWAR: Yeh Baat Sach Hai.
Hussain Walay Alam Utha Kar Hussain Ka Gham Mana Rahe Hain.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2000-2001:
#YehChandTarey
#NohayLyrics
#tajpoint