Nehj Ul Balagha Joan Rizvi Lyrics In Urdu 2023

Nehj Ul Balagha Joan Rizvi Lyrics In Urdu 2023

Nehj Ul Balagha Joan Rizvi Write Up

Israr-e-Elahi Ka Jahan Kehte Hain Iss Ko.
Deen-e-Sheh-e-Wala Ka Nishaan Kehte Hain Iss Ko.
Daryae Sukhan, Tashna Labaan Kehte Hain Iss Ko.
Har Allama Ka Roh-e-Rawaan Kehte Hain Iss Ko.
Hai Kun Ke Musalay Ki Azaan Nehj-e-Balaga.
Khaliq Ki Zabaan Ki Hai Zabaan Nehj-e-Balaga.

Deti Hai Sada Sadiyon Se Yeh Nehj-e-Balaga.
Mana Hai Sahefon Ne Meri Baat Ka Sikka.
Alfaz Marey Kam Hain Matalib Hain Zyada.
Gonga Hai Marey Samne Har Bolne Wala.
Jab Tak Meri Baiyat Koi Alim Na Karey Ga.
Hafiz Bhi Woh Kehlaye Tu Jahil Hi Marey Ga.

Aaina-e-Farman-e-Saloni Kahin Mujh Ko.
Khutbat Mein Lehjay Ki Rawani Kahin Mujh Ko.
Uz Ilm-e-Ali Ilm-e-Ludni Kahin Mujh Ko.
Farmod-e-Lab-o-Nutq-e-Elahi Kahin Mujh Ko.
Takhleeq-e-Meh-o-Anjum-o-Khursheed Sikhayi.
Dunya Ko Marey Khutbon Ne Tauheed Sikhayi.

Ilham Ka Sarchashma Hoon Ijaz-e-Fasahat.
Chodah So Baras Se Hai Jawaan Rang-e-Balagat.
Jab Tak Na Koi Dil Se Karey Meri Tilawat.
Khulti Nahi Zehno Pe Kabhi Aik Bhi Aayat.
Jis Dil Ne Tawasal Na Kiya Nukta-e-Ba Se.
Woh Rijs Sada Door Raha Wahi-e-Khuda Se.

Main Kabay Ki Dewar Mein Bhi Nashar Hoi Thi.
Main Kalma-e-Qissar Mein Bhi Nashar Hoi Thi.
Talwaron Ki Jhankar Mein Bhi Nashar Hoi Thi.
Main Halqa-e-Agyar Mein Bhi Nashar Hoi Thi.
Ik Hashar Bapa Kar Diya Tha Nutq-e-Jali Ne.
Jis Roz Diya Khutba-e-Shaqshaqiya Ali Ne.

Shubhat Ka Dunya Mein Howa Mujh Se Azala.
Main Hamd Ka Alam Mein Hoon Mazboot Hawala.
Photay Marey Lafzoon Ki Siyahi Se Ujala.
Dam Torti Aayat Ko Main Ne Hi Sanbhala.
Kalmay Ki Taraf Kufar Ke Dil Moray Hain Main Ne.
Kabay Ki Tarha Seeno Ke But Toray Hain Main Ne.

Dunya Merey Alfaz Ki Haider Ne Basai.
Mujh Tak Nahi Hai Bolne Walon Ki Rasai.
Dunya Ke Khad-o-Khal Ki Tasveer Dikhai.
Tareekh Mah-o-Saal Ki Main Ne Hi Batai.
Ayerab Ka Woh Husan Hai Jo Chin Nahi Sakta.
Nuqton Mein Woh Nuktay Hain Koi Gin Nahi Sakta.

Main Pand-o-Nasehat Main Khasais Ki Imarat.
Main Wosat-e-Itela Main Tanbeeh-o-Basharat.
Garat Gar-e-Dunya Marey Hathoon Hoye Garat.
Talwar Ki Talwar Abarat Ki Abarat.
Har Subh-e-Darkhshaan Mein Meri Lo Ki Namak Hai.
Mujh Mein Asadullah Ke Lehjay Ki Dhamak Hai.

Jis Waqt Howa Malik-e-Ashtar Ka Taqarar.
Mansab Ko Mila Mujh Se Hakomat Ka Tasawar.
Daryaft Kiya Main Ne Siyasat Ka Tadabur.
Har Tang Nazar Dil Ko Diya Harf-e-Tashakur.
Waswaas Ki Youn Beekh Kani Ki Hai Dilon Se.
Batil Ke Sapolon Ko Nikala Hai Bilon Se.

Karta Hai Rag-o-Pe Mein Saraiyat Mera Lehja.
Har Shahid-e-Hasti Ki Shahadat Mera Lehja.
Masoom Gharanay Ki Wilayat Mera Lehja.
Hai Aaj Bhi Ghaibat Mein Salamat Mera Lehja.
Asra Mein Kabhi Kofay Ke Darbar Pe Tari.
Lehja Tha Mera Sham Ke Bazar Pe Tari.

Pas Manzar-e-Tauseef Hai Man Kunto Ka Manzar.
Hain Jis Mein Ali Nayab-e-Sarkar-e-Payamber.
Iss Aouj Pe Hai Nehj-e-Balaga Ka Muqadar.
Har Lafz Saheefay Ka Sada Deta Hai :AKBAR:.
Baiyat Se Meri Hota Hai Zeeshan Saheefa.
Dunya Mein Hoon Main Nayab-e-Quran Saheefa.

Poet: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Joan Rizvi:
Manqabat Volume: :Joan Rizvi 2022-23:
Composition: :Joan Rizvi:

#NehjUlBalagha
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Write Up Nehj Ul Balagha Joan Rizvi

Nehj Ul Balagha Joan Rizvi Lyrics In Urdu 2023 Write Up Poster Image

Nehj Ul Balagha Joan Rizvi Lyrics In Urdu 2023

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!