Dilband e Fatima Pe Zalim Reham Na Aaya Hasan Sadiq Lyrics In Urdu 2001
Dilband e Fatima Pe Zalim Reham Na Aaya Hasan Sadiq.
Mara Gaya Tashna Dahan Lasha Para Tha Be Kafan.
Dil Band-e-Fatima Pe Zalim Reham Na Aaya.
Tashna Labi Mein Tu Ne Mehmaan Ka Khoon Bahaya.
Be Goor-o-Be Kafan Tha Lasha Shah-e-Zaman Ka.
Sar Nook-e-Naiza Par Hai Darbar-e-Sham Aaya.
Abbas Tum Kahan Ho Lo Khaimay Jal Rahe Hain.
Be Pardah Bibiyon Pe Hai Aasmaan Ka Saya.
Asghar Jo Be Zabaan Tha Lekin Tha Khon-e-Haider.
Hurmal Ne Teer Khaincha Masoom Muskuraya.
Bazar-e-Sham Mein Jab Aayi Ali Ki Beti.
Tofan Pathron Ka Charon Taraf Se Aaya.
Quran Parhne Walay Woh Kaisay Musalmaan They.
Tasveer-e-Fatima Ko Darbar Mein Bulaya.
:GULZAR: Karbala Mein Aaye Quran Walay.
Afsoos Be Kasoon Ko Pani Mila Na Saya
Poet: :Gulzar Jafri:
NohaKhowan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 2001-02:
#DilbandeFatimaPe
#NohayLyrics
#tajpoint
