Aabroo e La Ilaha Sajda e Shabbir Hai Hasan Sadiq Lyrics In Urdu 2001
Aabroo e La Ilaha Sajda e Shabbir Hai Hasan Sadiq.
Tere Dam Se Ya Hussaina Narah-e-Takbeer Hai.
Likh Diya Khoon Se Hussaina Parcham-e-Islam Par.
Sar Katana Rah-e-Haq Mein Deen Ki Tauqeer Hai.
-->
Lasha-e-Akbar Utha Kar Bolay Shah-e-Karbala.
Khak-o-Khoon Mein Sarwar e Konain Ki Tasveer Hai.
Dekhiye Ayub Aa Kar Sabar Ki Manzil Zara.
Hathoon Pe Shah-e-Zaman Ke Lasha-e-Be Sheer Hai.
Kis Tarha Dafnaye Zainab Lash Ko Teri Hussain.
Hathoon Mein Rasi Bandhi Hai Sar Khulay Humsheer Hai.
Iss Tarha :IRFAN: Hota Hai Fareez e Haq Ada.
Khon Mein Dobi Hoi Peshani-e-Shabbir Hai.
Poet: :Irfan:
Noha Khowan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 2001-02:
#AabrooeLaIlaha
#NohayLyrics
#tajpoint
Aabroo e La Ilaha Sajda e Shabbir Hai Hasan Sadiq Lyrics In Urdu 2001 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
