ٹ کریں -->

Hashar Mein Rang Laye Ga Khon e Shahedaan Dekhna Hasan Sadiq Lyrics In Urdu 2002

Hashar Mein Rang Laye Ga Khon e Shahedaan Dekhna Hasan Sadiq Lyrics In Urdu 2002

Hashar Mein Rang Laye Ga Khon e Shahedaan Dekhna Hasan Sadiq.

Shaheed-e-Karbala.
Hai Deen Ki Baqa.
Zabeeh e Nainawa.
Hussain Badshah.

Hashar Mein Rang Laye Ga Khon-e-Shaheedan Dekhna.
Aaein Gi Jab Fatima Hal-e-Pareshaan Dekhna.

-->

Robaro Baba Ke Jab Khatoon-e-Janat Aaein Gi.
Khali Jholi Sarwar e Konain Ko Dikhlaein Gi.
Bilyaqeen Tharaye Ga Mehshar Ka Maidaan Dekhna.

Rakh Diya Barchi Ne Akbar Ka Kaleja Cheer Ke.
Rukh Badla Walay Hain Ummat Ne Teri Tasveer Ke.
Malik-e-Kausar Zara Ummat Ke Ahsaan Dekhna.

Asghar-e-Masoom Ke Lab Par Sawal-e-Aab Hai.
Bond Pani Ke Liye Woh Kis Qadar Betab Hai.
Nehar Se Pani Nahi Detey Musalmaan Dekhna.

Zainab-o-Kulsoom Se Kehta Tha Shimar e Bad Gohar.
Sham Mein Jao Gi Nangay Sar Phiro Gi Dar Badar.
Karbala Ke Baad Ab Tareekh-e-Zindaan Dekhna.

Gham Bhala :GULZAR: Kya Iss Dil Ko Rooz-e-Hashar Ka.
Jo Hai Aoulad-e-Payamber Ki Muhabbat Se Bhara.
Bakhshwa Dein Gay Ossay Yasrab Ke Sultaan Dekhna.

Poet: :Gulzar Jafri:
NohaKhowan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 2002-03:

#KhoneShahedaanDekhna
#NohayLyrics
#tajpoint

Hashar Mein Rang Laye Ga Khon e Shahedaan Dekhna Hasan Sadiq Lyrics In Urdu 2002 Write Up Poster Image

Hashar Mein Rang Laye Ga Khon e Shahedaan Dekhna Hasan Sadiq Lyrics In Urdu 2002

Video Link

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!