Shabbir Tera Matam Momin Ki Nishani Hai Hasan Sadiq Lyrics Urdu 2003
Shabbir Tera Matam Momin Ki Nishani Hai Hasan Sadiq.
Matam Karo Shabeer Ka Haye Zainab-e-Dilgeer Ka.
Shabeer Tera Matam Momin Ki Nishani Hai.
Bakhshish Ki Zamanat Hai Jo Aankh Mein Pani Hai.
Yeh Dagh Nahi Logo Hai Mojza Matam Ka.
Seene Pe Likhi Mere Karbal Ki Kahani Hai.
Ghazi Ka Alam Le Ke Bazar Mein Aaye Hain.
Rodad Aseeron Ki Dunya Ko Sonani Hai.
Zainab Ne Shorow Ki Thi Zindaan Mein Azadari.
Sadiyon Se Chali Aayi Yeh Reet Porani Hai.
Aati Hai Sada Ab Bhi Karbal Ki Fizaon Se.
Shabeer Haqeeqat Mein Islam Ka Bani Hai.
Dein Pursa Bahatar Ka Zahra Ke Lutay Ghar Ka.
Har Saal Muharram Mein Yeh Yaad Dilani Hai.
Mazloom Ke Matam Mein Marna Hi Sadat Hai.
Waisay Bhi :JAWAD: Ik Din Yeh Jan Tu Jani Hai.
Poet: :Jawad Jafri:
NohaKhowan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 2003-04:
#ShabbirTeraMatam
#NohayLyrics
#tajpoint